mere sone ki
mire sone kī
aur bedār hone kī
mire jiine kī marne kī
mire hone na hone kī
faqat ye hī nahīñ
in meñ hī
kal ke ḳhvāb ugte haiñ
ye vo tasvīr haiñ
jis meñ ga.e vaqtoñ kā
ik ik pal munaqqash hai
ye āñkheñ haiñ
zamānī aur makānī
manzaroñ kī kitnī
rūdādeñ
zabān-o-dast
aurāq-o-qalam
jin ko bayāñ
kar hī nahīñ sakte
basā letī haiñ
shīshoñ meñ
chhalakte se kaToroñ meñ
jinheñ shā.ir ne
dī tashbīh
jhīloñ se
kabhī mai ke piyāloñ se
kabhī nargis ke phūloñ se
sitāroñ se
kabhī muTThī se nikle
jagmagāte jugnūoñ se
magar in kī tahoñ kī
daldalī jhīloñ meñ
jo tūfāñ chhupe haiñ
vo an-dekhe hī rahte haiñ
khulī haiñ to jahāñ ābād hai
bikhrā huā hai
agar haiñ band to
hastī kī saarī dāstāñ
simTī huī hai
mere sone ki
aur bedar hone ki
mere jine ki marne ki
mere hone na hone ki
faqat ye hi nahin
in mein hi
kal ke KHwab ugte hain
ye wo taswir hain
jis mein gae waqton ka
ek ek pal munaqqash hai
ye aankhen hain
zamani aur makani
manzaron ki kitni
rudaden
zaban-o-dast
auraq-o-qalam
jin ko bayan
kar hi nahin sakte
basa leti hain
shishon mein
chhalakte se kaToron mein
jinhen shair ne
di tashbih
jhilon se
kabhi mai ke piyalon se
kabhi nargis ke phulon se
sitaron se
kabhi muTThi se nikle
jagmagate jugnuon se
magar in ki tahon ki
daldali jhilon mein
jo tufan chhupe hain
wo an-dekhe hi rahte hain
khuli hain to jahan aabaad hai
bikhra hua hai
agar hain band to
hasti ki sari dastan
simTi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.