mere zaKHmi honT
nashsha jis vaqt bhī TūTegā, ka.ī andeshe
sub.h-e-lab-basta ke siine meñ utar ā.eñge
mahfil-e-sho.ala-e-shab-tāb ke saare lamhe
raakh ho jā.eñge palkoñ pe bikhar jā.eñge
ret dar aa.egī sunsān shabistānoñ meñ
aur bagūle pas-e-dīvār nazar ā.eñge
is se pahle ki ye ho jaa.e, mire zaḳhmī hoñT
maiñ ye chāhūñgā ki be-lahn-o-sadā ho jaa.eñ
maiñ ye chāhūñgā ki bujh jaa.e mirī sham-e-ḳhayāl
is se pahle ki sab ahbāb judā ho jaa.eñ
is liye mujh se na pūchho ki safa-e-yārāñ meñ
kyuuñ ye dil be-hunar-o-husn-o-tamīz itnā hai
aur ai dīda-varo! ye bhī na pūchho ki mujhe
sāġhar-e-zahr bhī kyuuñ jaañ se aziiz itnā hai
nashsha jis waqt bhi TuTega, kai andeshe
subh-e-lab-basta ke sine mein utar aaenge
mahfil-e-shoala-e-shab-tab ke sare lamhe
rakh ho jaenge palkon pe bikhar jaenge
ret dar aaegi sunsan shabistanon mein
aur bagule pas-e-diwar nazar aaenge
is se pahle ki ye ho jae, mere zaKHmi honT
main ye chahunga ki be-lahn-o-sada ho jaen
main ye chahunga ki bujh jae meri sham-e-KHayal
is se pahle ki sab ahbab juda ho jaen
is liye mujh se na puchho ki safa-e-yaran mein
kyun ye dil be-hunar-o-husn-o-tamiz itna hai
aur ai dida-waro! ye bhi na puchho ki mujhe
saghar-e-zahr bhi kyun jaan se aziz itna hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 57)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.