meri aankhon se dekho
ik roz apne aap ko maiñ ne
ḳhalā kī vus.atoñ se jhāñk kar dekhā
to vahshat meñ palaT aayā
kahīñ par duur ik nuqta sā raushan thā
aur us nuqte meñ ik zarra nazar aayā
zamīñ kahiye zamāñ kahiye ki apnā āsmāñ kahiye
sabhī kuchh is meñ gum paayā
vahī zarra
ki jis kī vus.atoñ ko baañT kar ham ne
ka.ī ḳhitte banā Daale
aur un ḳhittoñ meñ ham ne sarhadeñ bhī ḳhuub khīñchī haiñ
so ik sarhad ke andar bhī ka.ī TukḌe nazar aa.e
ki jin TukḌoñ ke TukḌoñ meñ kahīñ ik shahr bastā hai
ki jis ke ek TukḌe meñ purānā ik mohalla hai
so us ke ek hisse meñ koī chhoTā sā ghar hogā
aur us ghar ke kisī kamre ke kone meñ
koī apnī haqīqat likh rahā hogā
ek roz apne aap ko main ne
KHala ki wusaton se jhank kar dekha
to wahshat mein palaT aaya
kahin par dur ek nuqta sa raushan tha
aur us nuqte mein ek zarra nazar aaya
zamin kahiye zaman kahiye ki apna aasman kahiye
sabhi kuchh is mein gum paya
wahi zarra
ki jis ki wusaton ko banT kar hum ne
kai KHitte bana Dale
aur un KHitton mein hum ne sarhaden bhi KHub khinchi hain
so ek sarhad ke andar bhi kai TukDe nazar aae
ki jin TukDon ke TukDon mein kahin ek shahr basta hai
ki jis ke ek TukDe mein purana ek mohalla hai
so us ke ek hisse mein koi chhoTa sa ghar hoga
aur us ghar ke kisi kamre ke kone mein
koi apni haqiqat likh raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.