meri aawaz sunte ho
maiñ tanhā hijr ke jañgal ke ġhāroñ meñ
jalātī huuñ
suḳhan ke vo diye jin ko
abhī bāhar kī zahrīlī havā.eñ ajnabī mahsūs kartī haiñ
abhī ye raushnī jo sach kī ḳhushbū kī hifāzat ke liye
tārīkiyoñ se laḌ rahī hai, nā-shanāsī ke
ġhubār-ālūd rastoñ se guzartī hai
abhī jugnū shaboñ meñ apne hone kī gavāhī tak nahīñ dete
abhī to titliyāñ maile paroñ se dar-ba-dar phirtī haiñ be-chārī
abhī to chāñd bhī ThanDak nahīñ detā mohabbat kī
abhī to raat ke shānoñ pe haiñ hālāt kī zulfeñ
mujhe ma.alūm hai maiñ jāntī huuñ mujh ko rahnā hai
isī ġhār-e-aziyyat meñ
magar sun lo
yahīñ se mere hoñToñ ko milā hai vasf-e-goyā.ī
yahīñ se mere hoñToñ ko milā hai vasf-e-goyā.ī
yahīñ se maiñ ne sach kī raushnī ḳhud meñ utārī hai
isī ġhār-e-aziyyat ne mire lafzoñ ko āvāzeñ atā kī haiñ
yahīñ se ek din sūraj nikalnā hai vafāoñ kā
yahīñ se ek din harf-e-mohabbat bhī janam legā
mire lafzoñ meñ ma.anī kā asar mahsūs karte ho
mirī āvāz sunte ho
main tanha hijr ke jangal ke ghaaron mein
jalati hun
suKHan ke wo diye jin ko
abhi bahar ki zahrili hawaen ajnabi mahsus karti hain
abhi ye raushni jo sach ki KHushbu ki hifazat ke liye
tarikiyon se laD rahi hai, na-shanasi ke
ghubar-alud raston se guzarti hai
abhi jugnu shabon mein apne hone ki gawahi tak nahin dete
abhi to titliyan maile paron se dar-ba-dar phirti hain be-chaari
abhi to chand bhi ThanDak nahin deta mohabbat ki
abhi to raat ke shanon pe hain haalat ki zulfen
mujhe malum hai main jaanti hun mujh ko rahna hai
isi ghaar-e-aziyyat mein
magar sun lo
yahin se mere honTon ko mila hai wasf-e-goyai
yahin se mere honTon ko mila hai wasf-e-goyai
yahin se main ne sach ki raushni KHud mein utari hai
isi ghaar-e-aziyyat ne mere lafzon ko aawazen ata ki hain
yahin se ek din suraj nikalna hai wafaon ka
yahin se ek din harf-e-mohabbat bhi janam lega
mere lafzon mein mani ka asar mahsus karte ho
meri aawaz sunte ho
- Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.