meri dua hai
ḳhalā ke gahre samundaroñ meñ
agar kahīñ koī hai jazīra
jahāñ koī saañs le rahā hai
jahāñ koī dil dhaḌak rahā hai
jahāñ zehānat ne ilm kā jaam pī liyā hai
jahāñ ke baasī
ḳhalā ke gahre samundaroñ meñ
utārne ko haiñ apne beḌe
talāsh karne koī jazīra
jahāñ koī saañs le rahā hai
jahāñ koī dil dhaḌak rahā hai
mirī duā hai
ki us jazīre meñ rahne vāloñ ke jism kā rañg
is jazīre ke rahne vāloñ ke jism ke jitne rañg haiñ
in se muḳhtalif ho
badan kī hai.at bhī muḳhtalif
aur shakl-o-sūrat bhī muḳhtalif ho
mirī duā hai
agar hai un kā bhī koī maz.hab
to is jazīre ke maz.haboñ se vo muḳhtalif ho
mirī duā hai
ki is jazīre kī sab zabānoñ se muḳhtalif ho zabān un kī
mirī duā hai
ḳhalā ke gahre samundaroñ se guzar ke
ik din
is ajnabī nasl ke jahāzī
ḳhalā.ī beḌe meñ
is jazīre tak aa.eñ
ham un ke mezbāñ hoñ
ham un ko hairat se dekhte hoñ
vo paas aa kar
hameñ ishāroñ se ye batā.eñ
ki un se ham itne muḳhtalif haiñ
ki un ko lagtā hai
is jazīre ke rahne vaale
sab ek se haiñ
mirī duā hai
ki is jazīre ke rahne vaale
us ajnabī nasl ke kahe kā yaqīn kar leñ
KHala ke gahre samundaron mein
agar kahin koi hai jazira
jahan koi sans le raha hai
jahan koi dil dhaDak raha hai
jahan zehanat ne ilm ka jam pi liya hai
jahan ke basi
KHala ke gahre samundaron mein
utarne ko hain apne beDe
talash karne koi jazira
jahan koi sans le raha hai
jahan koi dil dhaDak raha hai
meri dua hai
ki us jazire mein rahne walon ke jism ka rang
is jazire ke rahne walon ke jism ke jitne rang hain
in se muKHtalif ho
badan ki haiat bhi muKHtalif
aur shakl-o-surat bhi muKHtalif ho
meri dua hai
agar hai un ka bhi koi mazhab
to is jazire ke mazhabon se wo muKHtalif ho
meri dua hai
ki is jazire ki sab zabanon se muKHtalif ho zaban un ki
meri dua hai
KHala ke gahre samundaron se guzar ke
ek din
is ajnabi nasl ke jahazi
KHalai beDe mein
is jazire tak aaen
hum un ke mezban hon
hum un ko hairat se dekhte hon
wo pas aa kar
hamein ishaaron se ye bataen
ki un se hum itne muKHtalif hain
ki un ko lagta hai
is jazire ke rahne wale
sab ek se hain
meri dua hai
ki is jazire ke rahne wale
us ajnabi nasl ke kahe ka yaqin kar len
- Book : Tarkash (Pg. 138)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.