meri gali ke ghaliz bachcho
mirī galī ke ġhalīz bachcho
tum apne maile badan kī saarī ġhalāzatoñ ko udhār samjho
tumhārī āñkheñ
udāsiyoñ se bharī huī haiñ
azal se jaise Darī huī haiñ
tumhāre hoñToñ pe pīḌhiyoñ kī jamī huī tah ye kah rahī hai
hayāt kī aabjū pas-e-pusht bah rahī hai
tumhārī jebeñ munāfiqat se aTī huī haiñ
sabhī qamīseñ phaTī huī haiñ
tumhārī phīkī hatheliyoñ kī bujhī lakīreñ
baqā kī abjad se ajnabī haiñ
tumhārī qismat kī āsmānī nishāniyāñ ab ḳhutūt-e-vahdāniyat kā maqsūm ho rahī haiñ
nazar se mādūm ho rahī haiñ
mirī galī ke ġhalīz bachcho
tumhāre māñ-bāp ne tamaddun kā qarz le kar
tumhārī tahzīb bech dī hai
tumhārā ustād apnī TuuTī huī chhaḌī le ke chup khaḌā hai
ki is ke sūkhe gale meñ nān-e-javīñ kā TukḌā aḌā huā hai
mirī galī ke ġhalīz bachcho
tumhāre maile badan kī saarī ġhalāzateñ ab ga.e zamānoñ ke armuġhāñ haiñ
tumhāre virse kī dāstāñ haiñ
inheñ sambhālo
ki aane vaalā har ek lamha tumhāre jhaḌte hue papoToñ se jaane vaale dinoñ dinoñ kī utaar legā
mirī galī ke ġhalīz bachcho
zidoñ ko chhoḌo
qarīb aao
rutoñ kī nafrat ko pyaar samjho
ḳhizāñ ko rang-e-bahār samjho
ġhalāzatoñ ko udhār samjho
meri gali ke ghaliz bachcho
tum apne maile badan ki sari ghalazaton ko udhaar samjho
tumhaari aankhen
udasiyon se bhari hui hain
azal se jaise Dari hui hain
tumhaare honTon pe piDhiyon ki jami hui tah ye kah rahi hai
hayat ki aabju pas-e-pusht bah rahi hai
tumhaari jeben munafiqat se aTi hui hain
sabhi qamisen phaTi hui hain
tumhaari phiki hatheliyon ki bujhi lakiren
baqa ki abjad se ajnabi hain
tumhaari qismat ki aasmani nishaniyan ab KHutut-e-wahdaniyat ka maqsum ho rahi hain
nazar se madum ho rahi hain
meri gali ke ghaliz bachcho
tumhaare man-bap ne tamaddun ka qarz le kar
tumhaari tahzib bech di hai
tumhaara ustad apni TuTi hui chhaDi le ke chup khaDa hai
ki is ke sukhe gale mein nan-e-jawin ka TukDa aDa hua hai
meri gali ke ghaliz bachcho
tumhaare maile badan ki sari ghalazaten ab gae zamanon ke armughan hain
tumhaare wirse ki dastan hain
inhen sambhaalo
ki aane wala har ek lamha tumhaare jhaDte hue papoTon se jaane wale dinon dinon ki utar lega
meri gali ke ghaliz bachcho
zidon ko chhoDo
qarib aao
ruton ki nafrat ko pyar samjho
KHizan ko rang-e-bahaar samjho
ghalazaton ko udhaar samjho
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 504)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.