meri ek umr
mirī ik umr kā andoḳhta
jis meñ
na kaliyāñ haiñ na motī haiñ
qalam se jis qadar chiñgāriyāñ barsīñ
unheñ tum raakh se tashbīh de do
vo aañsū
jo siyāhī ban ke kāġhaz par gire haiñ
maiñ tumhārī nazr kartā huuñ
mirī manzūm taqsīreñ
jo mere jān-levā rat-jagoñ kī
ḳhud hī shāhid haiñ
tumhāre sāmne haiñ sab
mire ḳhūn-e-jigar kā kitnā kitnā
kis qabīle se ta.alluq hai
ye tum jaano
ye rangā-rang tohfe
jo saroñ kī shakl meñ tum ne sajā.e haiñ
unheñ maiñ shukriye ke saath
vāpas kar rahā huuñ bas
merī gardan pe merā sar hī rahne do
meri ek umr ka andoKHta
jis mein
na kaliyan hain na moti hain
qalam se jis qadar chingariyan barsin
unhen tum rakh se tashbih de do
wo aansu
jo siyahi ban ke kaghaz par gire hain
main tumhaari nazr karta hun
meri manzum taqsiren
jo mere jaan-lewa rat-jagon ki
KHud hi shahid hain
tumhaare samne hain sab
mere KHun-e-jigar ka kitna kitna
kis qabile se talluq hai
ye tum jaano
ye ranga-rang tohfe
jo saron ki shakl mein tum ne sajae hain
unhen main shukriye ke sath
wapas kar raha hun bas
meri gardan pe mera sar hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.