meri nazmen tumhaari muntazir hain
mire ḳhvāboñ ke sūrat-gar
mirī sochoñ ke chehra-gar
kahāñ ho tum
mirī nazmeñ tumhārī muntazir haiñ
ḳhafā haiñ lafz
lahje be-sadā haiñ
ka.ī din se
tumhārī yaad ke panchhī bhī
mere zehn-o-dil ke āsmānoñ par nazar aate nahīñ haiñ
nadī kohsār jharne
phuul titlī rang jugnū sab
mirī bechārgī par nauha-ḳhvāñ haiñ
koī manzar
mirī be-chehragī ko ḳhush nahīñ aatā
koī mausam
mire zaḳhmoñ pe marham tak nahīñ rakhtā
mire chāroñ taraf
nākām ummīdoñ shikasta ārzūoñ aur sannāToñ kā jañgal hai
mire ḳhvāboñ ke sūrat-gar
maiñ jiinā chāhtā huuñ
apne lafzoñ meñ
tumheñ sākār karnā chāhtā huuñ
kahāñ ho tum
chale aao mirī nazmeñ tumhārī muntazir haiñ
mere KHwabon ke surat-gar
meri sochon ke chehra-gar
kahan ho tum
meri nazmen tumhaari muntazir hain
KHafa hain lafz
lahje be-sada hain
kai din se
tumhaari yaad ke panchhi bhi
mere zehn-o-dil ke aasmanon par nazar aate nahin hain
nadi kohsar jharne
phul titli rang jugnu sab
meri bechaargi par nauha-KHwan hain
koi manzar
meri be-chehragi ko KHush nahin aata
koi mausam
mere zaKHmon pe marham tak nahin rakhta
mere chaaron taraf
nakaam ummidon shikasta aarzuon aur sannaTon ka jangal hai
mere KHwabon ke surat-gar
main jina chahta hun
apne lafzon mein
tumhein sakar karna chahta hun
kahan ho tum
chale aao meri nazmen tumhaari muntazir hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.