meri patthar aankhen
ab ke miTTī kī ibārat meñ likhī jā.egī
sabz pattoñ kī kahānī ruḳh-e-shādāb kī baat
kal ke dariyāoñ kī miTtī huī mub.ham tahrīr
ab faqat ret ke dāman meñ nazar aa.egī
buuñd bhar nam ko taras jā.egī be-sūd duā
nam agar hogī koī chiiz to merī āñkheñ
merā ujḌā huā chehra mirī patthar āñkheñ
qaht-e-afsāna nahīñ aur ye be-abr falak
aaj us des kal is des kā vāris hogā
ham se tarke meñ mileñge use bīmār daraḳht
tez kirnoñ kī tamāzat se chaTaḳhte hue hoñT
dhuup kā harf-e-junūñ lū kā vasiyyat-nāma
aur mire shahr-e-tilismāt kī be-dar āñkheñ
mirī be-dar mirī banjar mirī patthar āñkheñ
ab ke miTTi ki ibarat mein likhi jaegi
sabz patton ki kahani ruKH-e-shadab ki baat
kal ke dariyaon ki miTti hui mubham tahrir
ab faqat ret ke daman mein nazar aaegi
bund bhar nam ko taras jaegi be-sud dua
nam agar hogi koi chiz to meri aankhen
mera ujDa hua chehra meri patthar aankhen
qaht-e-afsana nahin aur ye be-abr falak
aaj us des kal is des ka waris hoga
hum se tarke mein milenge use bimar daraKHt
tez kirnon ki tamazat se chaTaKHte hue honT
dhup ka harf-e-junun lu ka wasiyyat-nama
aur mere shahr-e-tilismat ki be-dar aankhen
meri be-dar meri banjar meri patthar aankhen
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(koh-e- nidaa) (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.