mirza-ghaalib
rāzdān-e-zindagī ai tarjumān-e-zindagī
hai tirā har lafz zinda dāstān-e-zindagī
har tabassum se tire paidā fuġhān-e-zindagī
har fuġhāñ terī nashīd-e-gulsitān-e-zindagī
gulshan-e-husn-o-vafā kī ābiyārī tujh se hai
ḳhaak ke zarroñ ko faḳhr-e-tāj-dārī tujh se hai
daur-e-mustaqbil pe duniyā ke nigāheñ thiiñ tirī
rahbar-e-rāh-e-amal dil-doz aaheñ thiiñ tirī
sīna-e-ilm-e-haqīqat meñ panāheñ thiiñ tirī
arsh se bhī aur aage jalva-gāheñ thiiñ tirī
kaam thā tujh ko na mutlaq hasti-e-nākām se
thī navā vābasta terī parda-e-ilhām se
falsafe kī ḳhūbsūrat tarjumānī tū ne kī
dasht-e-hū meñ āñsuoñ se bāġhbānī tū ne kī
apnī āñkhoñ se musalsal ḳhūñ-fishānī tū ne kī
muddatoñ mulk-e-suḳhan par hukmarānī tū ne kī
ruuh mutlaq jazb thī goyā tire ehsās meñ
quds ke naġhme nihāñ the parda-e-anfās meñ
nutq ko tū ne diyā pairāya-e-soz-o-gudāz
ḳhuun se kar ke vuzū tū ne paḌhī aksar namāz
guuñj uTThā tere naġhmoñ se harīm-e-hsun-o-nāz
aaj tak mahfūz hai har dil meñ terā soz-o-sāz
ālam-e-bālā se ik paiġhām-e-nau laatā thā tū
ruuh kī gahrā.iyoñ tak us ko pahuñchātā thā tū
mai-kada thā terā yaksar soz mutlaq saaz bhī
thī mai-a-hindī bhī sāġhar meñ mai-e-shīrāz bhī
tū haqīqat fahm bhī thā āshnā-e-rāz bhī
ruuh kī āvāz thī goyā tirī āvāz bhī
naqsh-e-faryādī hai terī shoḳhi-e-tahrīr kā
kāġhzī hai pairahan har paikar-e-tasvīr kā
aah ḳhāk-e-hind meñ tū der se ḳhvābīda hai
zīnat-e-har-bazm terā jalva-e-nā-dīda hai
tere ġham meñ aaj bhī jān-e-suḳhan kāhīda hai
hai tasarruf terā paidā aur tū poshīda hai
soz terā aag ban kar bazm par chhā jā.egā
sāz-e-hastī hashr tak tere hī naġhme gā.egā
raazdan-e-zindagi ai tarjuman-e-zindagi
hai tera har lafz zinda dastan-e-zindagi
har tabassum se tere paida fughan-e-zindagi
har fughan teri nashid-e-gulsitan-e-zindagi
gulshan-e-husn-o-wafa ki aabiyari tujh se hai
KHak ke zarron ko faKHr-e-taj-dari tujh se hai
daur-e-mustaqbil pe duniya ke nigahen thin teri
rahbar-e-rah-e-amal dil-doz aahen thin teri
sina-e-ilm-e-haqiqat mein panahen thin teri
arsh se bhi aur aage jalwa-gahen thin teri
kaam tha tujh ko na mutlaq hasti-e-nakaam se
thi nawa wabasta teri parda-e-ilham se
falsafe ki KHubsurat tarjumani tu ne ki
dasht-e-hu mein aansuon se baghbani tu ne ki
apni aankhon se musalsal KHun-fishani tu ne ki
muddaton mulk-e-suKHan par hukmarani tu ne ki
ruh mutlaq jazb thi goya tere ehsas mein
quds ke naghme nihan the parda-e-anfas mein
nutq ko tu ne diya pairaya-e-soz-o-gudaz
KHun se kar ke wuzu tu ne paDhi aksar namaz
gunj uTTha tere naghmon se harim-e-hsun-o-naz
aaj tak mahfuz hai har dil mein tera soz-o-saz
aalam-e-baala se ek paigham-e-nau lata tha tu
ruh ki gahraiyon tak us ko pahunchata tha tu
mai-kada tha tera yaksar soz mutlaq saz bhi
thi mai-a-hindi bhi saghar mein mai-e-shiraaz bhi
tu haqiqat fahm bhi tha aashna-e-raaz bhi
ruh ki aawaz thi goya teri aawaz bhi
naqsh-e-faryaadi hai teri shoKHi-e-tahrir ka
kaghzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka
aah KHak-e-hind mein tu der se KHwabida hai
zinat-e-har-bazm tera jalwa-e-na-dida hai
tere gham mein aaj bhi jaan-e-suKHan kahida hai
hai tasarruf tera paida aur tu poshida hai
soz tera aag ban kar bazm par chha jaega
saz-e-hasti hashr tak tere hi naghme gaega
- Subh-e-Mashriq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.