misre
misre dam pe rakh detī huuñ
chāval qaab meñ bhiig chuke haiñ
roTī belan ke nīche hai
pyaaz kā taḌkā daal pe Daal ke
chāval pakne rakhe haiñ
kettle meñ hai chaa.e chaḌhā.ī
jab tak chaa.e meñ bhāñp bane
maiñ misre dam pe rakh detī huuñ
aur isī asnā meñ bartan
dastar-ḳhvān pe chun detī huuñ
dastar-ḳhvān pe cup paleToñ aur chamchoñ ke shor meñ misre
kachche-pakke rahte haiñ
ek sukūñ kā pal milte hī soch kī hañDiyā kholuñgī aur ik ik kar ke
dhīmī aañch pe saare misre señkuñgī
to sab nazmeñ ban jā.eñgī
misre dam pe rakh deti hun
chawal qab mein bhig chuke hain
roTi belan ke niche hai
pyaz ka taDka dal pe Dal ke
chawal pakne rakhe hain
kettle mein hai chae chaDhai
jab tak chae mein bhanp bane
main misre dam pe rakh deti hun
aur isi asna mein bartan
dastar-KHwan pe chun deti hun
dastar-KHwan pe cup paleTon aur chamchon ke shor mein misre
kachche-pakke rahte hain
ek sukun ka pal milte hi soch ki hanDiya kholungi aur ek ek kar ke
dhimi aanch pe sare misre senkungi
to sab nazmen ban jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.