mister dhondhal
chhoTe moTe gol aur toñdal
ek miyāñ the mister dhoñdhal
peT thā un kā jaise maTkā
chalte the khā khā kar jhaTkā
aTak aTak kar chalte the vo
maTak maTak kar chalte the vo
qad sach-much fōtbāl thā un kā
kuppā ik ik gaal thā un kā
umr thī un kī aaTh baras kī
aaTh nahīñ to nau kī das kī
jab vo dāvat meñ kahīñ jaate
das das bāqar-ḳhāniyāñ khāte
fīrīnī das biis pyāle
be-gintī zarde ke nivāle
us par bhī jab peT na bhartā
bhūkā martā kyā nahīñ kartā
ghar aa kar vo shor machāte
maañ se maañg ke khānā khāte
mehnat se ghabrāte the vo
saare din bas khāte the vo
paidal chalnā chhūT gayā thā
ghar se nikalnā chhūT gayā thā
vo nikle aur sab chillā.e
toñdal aa.e toñdal aa.e
ik din apne ghar se nikle
chal kar vo bāzār meñ pahuñche
bāzārī kuttoñ ne gherā
dhoñdhal chillā.e bahterā
ban na paḌā jab kuchh to bhāge
kutte pīchhe dhoñdal aage
kutte un ko jaan ga.e the
vaqt ko bhī pahchān ga.e the
jab vo ghar se bāhar aate
kutte roz unheñ dauḌāte
roz ye un par aatī aafat
bantī in kī roz yahī gat
toñd is varzish se kuchh paTkī
maTkā thī ab rah ga.ī maTkī
kuttoñ ne ye ḳhuub davā dī
chhuT ga.ī un ke jism kī baadī
achchhe ḳhāse ho ga.e dhoñdhal
koī na kahtā ab unheñ toñdal
chhoTe moTe gol aur tondal
ek miyan the mister dhondhal
peT tha un ka jaise maTka
chalte the kha kha kar jhaTka
aTak aTak kar chalte the wo
maTak maTak kar chalte the wo
qad sach-much footbaal tha un ka
kuppa ek ek gal tha un ka
umr thi un ki aaTh baras ki
aaTh nahin to nau ki das ki
jab wo dawat mein kahin jate
das das baqar-KHaniyan khate
firini das bis pyale
be-ginti zarde ke niwale
us par bhi jab peT na bharta
bhuka marta kya nahin karta
ghar aa kar wo shor machate
man se mang ke khana khate
mehnat se ghabraate the wo
sare din bas khate the wo
paidal chalna chhuT gaya tha
ghar se nikalna chhuT gaya tha
wo nikle aur sab chillae
tondal aae tondal aae
ek din apne ghar se nikle
chal kar wo bazar mein pahunche
bazari kutton ne ghera
dhondhal chillae bahtera
ban na paDa jab kuchh to bhage
kutte pichhe dhondal aage
kutte un ko jaan gae the
waqt ko bhi pahchan gae the
jab wo ghar se bahar aate
kutte roz unhen dauDate
roz ye un par aati aafat
banti in ki roz yahi gat
tond is warzish se kuchh paTki
maTka thi ab rah gai maTki
kutton ne ye KHub dawa di
chhuT gai un ke jism ki baadi
achchhe KHase ho gae dhondhal
koi na kahta ab unhen tondal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.