miTTi
jis jagah kī ho bevafā miTTī
us jagah se mirī uThā miTTī
ek din ḳhud-ba-ḳhud ye honā hai
to tū miTTī meñ mat milā miTTī
jaane kis kis tarah mile bichhḌe
aag paanī falak havā miTTī
rang aur nasl kī tamīz ġhalat
aadmī asl meñ hai kyā miTTī
ham sadā jaañ pe khel jaate haiñ
ham ko detī hai jab sadā miTTī
sajda karne ko dil tarastā hai
lā vatan kī vatan se lā miTTī
kaisī murda-parast hai duniyā
mar ke paatī hai martaba miTTī
sab pe haq us kā sab pe qarz us kā
jaane kab kis ko le bulā miTTī
rotī hañstī hai chaltī phirtī hai
kitne rangoñ meñ jā-ba-jā miTTī
rauñdtā hai kumhār miTTī ko
us ko rauñdegī dekhnā miTTī
jis ko ham ne azīz-tar jaanā
sab se pahle vo de gayā miTTī
apne andar chhupā.e baiThī hai
saarī duniyā kā falsafa miTTī
ye kahīñ par hai Dher be-ma.anī
aur kahīñ par hai kīmiyā miTTī
jis jagah ki ho bewafa miTTi
us jagah se meri uTha miTTi
ek din KHud-ba-KHud ye hona hai
to tu miTTi mein mat mila miTTi
jaane kis kis tarah mile bichhDe
aag pani falak hawa miTTi
rang aur nasl ki tamiz ghalat
aadmi asl mein hai kya miTTi
hum sada jaan pe khel jate hain
hum ko deti hai jab sada miTTi
sajda karne ko dil tarasta hai
la watan ki watan se la miTTi
kaisi murda-parast hai duniya
mar ke pati hai martaba miTTi
sab pe haq us ka sab pe qarz us ka
jaane kab kis ko le bula miTTi
roti hansti hai chalti phirti hai
kitne rangon mein ja-ba-ja miTTi
raundta hai kumhaar miTTi ko
us ko raundegi dekhna miTTi
jis ko hum ne aziz-tar jaana
sab se pahle wo de gaya miTTi
apne andar chhupae baiThi hai
sari duniya ka falsafa miTTi
ye kahin par hai Dher be-mani
aur kahin par hai kimiya miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.