miTTi ka diya
jhuTpuTe ke vaqt ghar se ek miTTī kā diyā
ek buḌhiyā ne sar-e-rah lā ke raushan kar diyā
taaki rah-gīr aur pardesī kahīñ Thokar na khā.eñ
raah se āsāñ guzar jaa.e har ek chhoTā baḌā
ye diyā behtar hai un jhāḌoñ se aur us lamp se
raushnī mahloñ ke andar hī rahī jin kī sadā
gar nikal kar ik zarā mahloñ se bāhar dekhiye
hai añdherā ghup dar-o-dīvār par chhāyā huā
surḳh-rū āfāq meñ vo rahnumā mīnār haiñ
raushnī se jin kī mallāhoñ ke beḌe paar haiñ
ham ne in aalī bināoñ se kiyā akasr savāl
āshkārā jin se un ke bāniyoñ kā hai jalāl
shān-o-shaukat kī tumhārī dhuum hai āfāq meñ
duur se aa aa ke tum ko dekhte haiñ bā-kamāl
qaum ko is shān-o-shaukat se tumhārī kyā milā
do javāb is kā agar rakhtī ho yārā-e-maqāl
sar-nigūñ ho kar vo sab bolīñ zabān-e-hāl se
ho sakā ham se na kuchh al-infi.āl al-infi.āl
bāniyoñ ne thā banāyā is liye goyā hameñ
ham ko jab dekheñ ḳhalaf aslāf ko royā kareñ
shauq se us ne banāyā maqbara ik shāndār
aur chhoḌā us ne ik aivān-e-ālī yādgār
ek ne duniyā ke paude baaġh meñ apne lagā.e
ek ne chhoḌe dafīne sīm-o-zar ke be-shumār
ik muhibb-e-qaum ne apne mubārak haath se
qaum kī ta.alīm kī buniyād Daalī ustuvār
hogī aalam meñ kaho sarsabz ye pichhlī murād
yā vo agloñ kī umīdeñ lā.eñgī kuchh barg-o-bār
chashma-e-sar jyuuñ hai jo bahtā rahegā yaañ vahī
sab utar jā.eñgī chaḌh chaḌh naddiyāñ barsāt kī
jhuTpuTe ke waqt ghar se ek miTTi ka diya
ek buDhiya ne sar-e-rah la ke raushan kar diya
taki rah-gir aur pardesi kahin Thokar na khaen
rah se aasan guzar jae har ek chhoTa baDa
ye diya behtar hai un jhaDon se aur us lamp se
raushni mahlon ke andar hi rahi jin ki sada
gar nikal kar ek zara mahlon se bahar dekhiye
hai andhera ghup dar-o-diwar par chhaya hua
surKH-ru aafaq mein wo rahnuma minar hain
raushni se jin ki mallahon ke beDe par hain
hum ne in aali binaon se kiya akasr sawal
aashkara jin se un ke baniyon ka hai jalal
shan-o-shaukat ki tumhaari dhum hai aafaq mein
dur se aa aa ke tum ko dekhte hain ba-kamal
qaum ko is shan-o-shaukat se tumhaari kya mila
do jawab is ka agar rakhti ho yara-e-maqal
sar-nigun ho kar wo sab bolin zaban-e-haal se
ho saka hum se na kuchh al-infial al-infial
baniyon ne tha banaya is liye goya hamein
hum ko jab dekhen KHalaf aslaf ko roya karen
shauq se us ne banaya maqbara ek shandar
aur chhoDa us ne ek aiwan-e-ali yaadgar
ek ne duniya ke paude bagh mein apne lagae
ek ne chhoDe dafine sim-o-zar ke be-shumar
ek muhibb-e-qaum ne apne mubarak hath se
qaum ki talim ki buniyaad Dali ustuwar
hogi aalam mein kaho sarsabz ye pichhli murad
ya wo aglon ki umiden laengi kuchh barg-o-bar
chashma-e-sar jyun hai jo bahta rahega yan wahi
sab utar jaengi chaDh chaDh naddiyan barsat ki
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 22)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.