miTTi ki pyali
chakkar khātī charḳhī par
ghuum kar tere hāthoñ meñ
paanī ke chand hī qatroñ se
maiñ apne aap simaT jaatī
kabhī gol rakābī ke jaisī
kabhī chipTī kāsoñ kī pyālī
kabhī garm alaav aur ThanDe jazbe
maiñ apne andar samo jaatī
merī qīmat tū ne kyā jaanī
jab a.alā kāñch ke bartan aa.e
tū ne jhaT se mujh ko toḌ diyā
mere bhole pyāre sāthī re
tū farq na itnā jaan sakā
kāġhaz ke naqlī phūloñ meñ
aur narm gulāb kī pattī meñ
chakkar khati charKHi par
ghum kar tere hathon mein
pani ke chand hi qatron se
main apne aap simaT jati
kabhi gol rakabi ke jaisi
kabhi chipTi kason ki pyali
kabhi garm alaw aur ThanDe jazbe
main apne andar samo jati
meri qimat tu ne kya jaani
jab aala kanch ke bartan aae
tu ne jhaT se mujh ko toD diya
mere bhole pyare sathi re
tu farq na itna jaan saka
kaghaz ke naqli phulon mein
aur narm gulab ki patti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.