miTTi se ek mukalima
maañ kahtī hai
jab tum chhoTe the to aise achchhe the
sab ābād gharoñ kī maa.eñ
peshānī par bosa dene aatī thiiñ
aur tumhāre jaise beToñ kī ḳhvāhish se
un kī godeñ bharī rahā kartī thiiñ hamesha
aur maiñ tumhāre hone kī rāhat ke nashe meñ
kitnī umreñ chuur rahī thī
ik ik lafz mire siine meñ aTkā hai
sab kuchh yaad hai aaj
ki maiñ ik umr nigal kar baiThā huuñ
umr kī āḳhirī sarhad kī banjar miTTī
jab se maañ ke hoñToñ se girte lafzoñ meñ kāñptī hai
merī saañs taḌap uThtī hai
us ke miTte naqsh mire andar
kohrām sī ik tasvīr bane haiñ
zindagiyoñ ke khokhle ban par
āñsuoñ lipTī hañsī mire hoñToñ pe laraztī rahtī hai
achchhī maañ
umr ke chalte saa.e kī tazlīl meñ
tere lahū ke ras kī lazzat
tere ġhurūr kī saarī shakleñ
un rastoñ meñ miTTī miTTī kar aayā huuñ
pathrīlī saḌkoñ pe apne hī qadmoñ se
ḳhud ko rauñd ke guzrā huuñ
mere lahū ke shor meñ terī
koī bhī pahchān nahīñ hai
terī ujlī shabīh kuchh aise dhuñdlā.ī hai
tujh se vasl kī aañkh se
bīnā.ī zaa.il hai
maiñ tere dardoñ kā maarā
terī hī sūrat meñ bhī
ik jīvan haarā
man kahti hai
jab tum chhoTe the to aise achchhe the
sab aabaad gharon ki maen
peshani par bosa dene aati thin
aur tumhaare jaise beTon ki KHwahish se
un ki goden bhari raha karti thin hamesha
aur main tumhaare hone ki rahat ke nashe mein
kitni umren chur rahi thi
ek ek lafz mere sine mein aTka hai
sab kuchh yaad hai aaj
ki main ek umr nigal kar baiTha hun
umr ki aaKHiri sarhad ki banjar miTTi
jab se man ke honTon se girte lafzon mein kanpti hai
meri sans taDap uThti hai
us ke miTte naqsh mere andar
kohram si ek taswir bane hain
zindagiyon ke khokhle ban par
aansuon lipTi hansi mere honTon pe larazti rahti hai
achchhi man
umr ke chalte sae ki tazlil mein
tere lahu ke ras ki lazzat
tere ghurur ki sari shaklen
un raston mein miTTi miTTi kar aaya hun
pathrili saDkon pe apne hi qadmon se
KHud ko raund ke guzra hun
mere lahu ke shor mein teri
koi bhi pahchan nahin hai
teri ujli shabih kuchh aise dhundlai hai
tujh se wasl ki aankh se
binai zail hai
main tere dardon ka mara
teri hi surat mein bhi
ek jiwan haara
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 73)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.