miTTi thi kis jagah ki
be-faiz sā.atoñ meñ
muñh-zor mausamoñ meñ
ḳhud se kalām karte
ukhḌī huī tanāboñ
din-bhar kī saḳhtiyoñ se
uktā ke so ga.e the
bārish thī be-nihāyat
miTTī se uTh rahī thī
ḳhushbū kisī vatan kī
ḳhushbū se jhāñkte the
galiyāñ makāñ darīche
aur bachpane ke āñgan
ik dhuup ke kināre
āsā.ishoñ ke maidāñ
uḌte hue parinde
ik ujle āsmāñ par
do nīm-bāz āñkheñ
bedāriyoñ kī zad par
tā-hadd-e-ḳhāk uḌte
be-samt be-irāda
kuchh ḳhvāb fursatoñ ke
kuchh naam chāhatoñ ke
kin pāniyoñ meñ utre
kin bastiyoñ se guzre
thī sub.h kis zamīñ par
aur shab kahāñ pe aa.ī
miTTī thī kis jagah kī
uḌtī phirī kahāñ par
is ḳhāk-dāñ pe kuchh bhī
daa.im nahīñ rahegā
hai paañv meñ jo chakkar
qaa.em nahīñ rahegā
dastak thī kin dinoñ kī
āvāz kin rutoñ kī
ḳhāna-ba-dosh jaage
ḳhemoñ meñ uḌ rahī thiiñ
āñkhoñ meñ bhar ga.ī thī
ik aur shab ke nīndeñ
aur shahr-e-be-amāñ meñ
phir sub.h ho rahī thī
be-faiz saaton mein
munh-zor mausamon mein
KHud se kalam karte
ukhDi hui tanabon
din-bhar ki saKHtiyon se
ukta ke so gae the
barish thi be-nihayat
miTTi se uTh rahi thi
KHushbu kisi watan ki
KHushbu se jhankte the
galiyan makan dariche
aur bachpane ke aangan
ek dhup ke kinare
aasaishon ke maidan
uDte hue parinde
ek ujle aasman par
do nim-baz aankhen
bedariyon ki zad par
ta-hadd-e-KHak uDte
be-samt be-irada
kuchh KHwab fursaton ke
kuchh nam chahaton ke
kin paniyon mein utre
kin bastiyon se guzre
thi subh kis zamin par
aur shab kahan pe aai
miTTi thi kis jagah ki
uDti phiri kahan par
is KHak-dan pe kuchh bhi
daim nahin rahega
hai panw mein jo chakkar
qaem nahin rahega
dastak thi kin dinon ki
aawaz kin ruton ki
KHana-ba-dosh jage
KHemon mein uD rahi thin
aankhon mein bhar gai thi
ek aur shab ke ninden
aur shahr-e-be-aman mein
phir subh ho rahi thi
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 34)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.