murgha banne ke fawaed
murġhā banñe ke favā.ed tibb meñ paa.e be-hisāb
maulvī ne is liye murġhe banā.e be-hisāb
murġhā banñe kā 'amal hotā nahīñ āsān bhī
murġhā banñe se sunā hai Dartā hai shaitān bhī
maulvī murġhā banāne meñ hamāre taaq haiñ
is hunar meñ mulk ke thāne bhī saare taaq haiñ
ḳhatm hotā jā rahā hai murġhā banñe kā rivāj
is liye bigḌā huā hai naujavānoñ kā mizāj
murġhā banñe se zahānat hote dekhī dhār-dār
murġhā banñe ke mile tibbī favā.ed be-shumār
murġhā banñe se hai TuuTā kaise kaisoñ kā ġhurūr
murġh banñe se anā bhī hote dekhī chaknā-chūr
kaise hoñ ham sāhib-e-īmān bin murġhā bane
hifz hotā hī nahīñ qur.ān bin murġhā bane
nusḳha donoñ ke liye hai piir ho vo yā murīd
murġhā khāne se ziyāda murġhā banñā hai mufīd
siina chauḌā bachchoñ kā aur peT ho jaatā hai kam
bachcha be-dam ho agar to us meñ aa jaatā hai dam
bhaag jaa.eñ murġhā ban jaane ke Dar se bhuut bhī
murġhā banñe se utar jaate haiñ sar se bhuut bhī
kitne bhī mushkil ho yaaro kitne bhī hoñ vo adaq
yaad murġhā banñe se ho jaate haiñ saare sabaq
shā'iroñ ke sar se utrā shā'irī kā bhuut bhī
ham ne dekhā hai utarte 'āshiqī kā bhuut bhī
murġhā banñe se hai miTtā har tarah kā iztirāb
murġhā banñe se hī aa.e murda chehroñ par shabāb
koī leader ho yā afsar kukḌūñkūñ kartā mile
sāmne biivī ke har shauhar yahāñ murġhā bane
jo bhī bachpan meñ banā murġhā huā hai kāmyāb
jo nahīñ ban paayā murġhā us kī qismat hai ḳharāb
murgha banne ke fawaed tibb mein pae be-hisab
maulwi ne is liye murghe banae be-hisab
murgha banne ka 'amal hota nahin aasan bhi
murgha banne se suna hai Darta hai shaitan bhi
maulwi murgha banane mein hamare taq hain
is hunar mein mulk ke thane bhi sare taq hain
KHatm hota ja raha hai murgha banne ka riwaj
is liye bigDa hua hai naujawanon ka mizaj
murgha banne se zahanat hote dekhi dhaar-dar
murgha banne ke mile tibbi fawaed be-shumar
murgha banne se hai TuTa kaise kaison ka ghurur
murgh banne se ana bhi hote dekhi chakna-chur
kaise hon hum sahib-e-iman bin murgha bane
hifz hota hi nahin quran bin murgha bane
nusKHa donon ke liye hai pir ho wo ya murid
murgha khane se ziyaada murgha banna hai mufid
sina chauDa bachchon ka aur peT ho jata hai kam
bachcha be-dam ho agar to us mein aa jata hai dam
bhag jaen murgha ban jaane ke Dar se bhut bhi
murgha banne se utar jate hain sar se bhut bhi
kitne bhi mushkil ho yaro kitne bhi hon wo adaq
yaad murgha banne se ho jate hain sare sabaq
sha'iron ke sar se utra sha'iri ka bhut bhi
hum ne dekha hai utarte 'ashiqi ka bhut bhi
murgha banne se hai miTta har tarah ka iztirab
murgha banne se hi aae murda chehron par shabab
koi leader ho ya afsar kukDunkun karta mile
samne biwi ke har shauhar yahan murgha bane
jo bhi bachpan mein bana murgha hua hai kaamyab
jo nahin ban paya murgha us ki qismat hai KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.