Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mobile

MORE BYSiraj Faisal Khan

    vo mobile tumhārā thā

    mirī jānāñ

    ki jis contact book meñ

    mujhe har din

    nayā ik naam miltā thā

    kabhī baabū

    kabhī buddhū

    kabhī pāgal

    kabhī shonā

    vo mobile tumhārā thā

    mirī jānāñ

    ki jis ke ḳhūb-sūrat se cover pe

    phone ke pīchhe

    tumhāre aur mere naam ke

    pahle vo do akshar

    hamesha TimTimāte the

    tumhāre phone par aksar

    mirī tasvīr ban ke wallpaper

    muskurātī thī

    vo mobile tumhārā thā

    mirī jānāñ

    mirī har call jis meñ

    recording save rahtī thī

    mirī āvāz

    us phone ringtone hotī thī

    koī bhī call aatī thī

    to tum har call se pahle

    mirī āvāz suntī thiiñ

    ab ik muddat se kuchh rishta nahīñ

    us phone se merā

    mirī jānāñ

    na us se call aatī hai

    na us pe call jaatī hai

    wo mobile tumhaara tha

    meri jaanan

    ki jis ki contact book mein

    mujhe har din

    naya ek nam milta tha

    kabhi babu

    kabhi buddhu

    kabhi pagal

    kabhi shona

    wo mobile tumhaara tha

    meri jaanan

    ki jis ke KHub-surat se cower pe

    phone ke pichhe

    tumhaare aur mere nam ke

    pahle wo do akshar

    hamesha TimTimate the

    tumhaare phone par aksar

    meri taswir ban ke wallpaper

    muskuraati thi

    wo mobile tumhaara tha

    meri jaanan

    meri har call ki jis mein

    recording sawe rahti thi

    meri aawaz hi

    us phone ki ringtone hoti thi

    koi bhi call aati thi

    to tum har call se pahle

    meri aawaz sunti thin

    ab ek muddat se kuchh rishta nahin

    us phone se mera

    meri jaanan

    na us se call aati hai

    na us pe call jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now