moD
us shahr-e-be-charāġh ke raste ajiib the
kūche hazār
bhūl-bhulayyāñ
pathrīle rāste
kīchaḌ gandagī
gaḌhe
chaTTān
surang
pul
galiyāñ ka.ī hasīn
ka.ī moḌ pur-vaqār
bijlī kabhī chamak ke dikhātī thī rāsta
sūraj bikhertā kabhī rāhoñ meñ raushnī
chalte rahe
guzarte rahe
dauḌte rahe
ḳhandāñ nāzāñ
hairāñ pareshāñ
figār dil
bhaTakte sañbhalte
kuchh rāheñ manziloñ kā pata de ke rah ga.iiñ
kuchh manzileñ pukār ke sharminda ho ga.iiñ
ik moḌ aisī thī
ki thā raste pe
farsh-e-gul
muḌnā vahīñ se thā hameñ
manzil ke vāste
bas ik palak jhapakne meñ
vo moḌ muḌ ga.ī
pāras thī moḌ
haath meñ aa.ī nikal ga.ī
us shahr-e-be-charagh ke raste ajib the
kuche hazar
bhul-bhulayyan
pathrile raste
kichaD gandagi
gaDhe
chaTTan
surang
pul
galiyan kai hasin
kai moD pur-waqar
bijli kabhi chamak ke dikhati thi rasta
suraj bikherta kabhi rahon mein raushni
chalte rahe
guzarte rahe
dauDte rahe
KHandan nazan
hairan pareshan
figar dil
bhaTakte sanbhalte
kuchh rahen manzilon ka pata de ke rah gain
kuchh manzilen pukar ke sharminda ho gain
ek moD aisi thi
ki tha raste pe
farsh-e-gul
muDna wahin se tha hamein
manzil ke waste
bas ek palak jhapakne mein
wo moD muD gai
paras thi moD
hath mein aai nikal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.