Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

modern ehtijaj

Tauheed Zeb

modern ehtijaj

Tauheed Zeb

MORE BYTauheed Zeb

    zindagī muffler ghumā kar gāñTh banānī lagī to

    din safed saḌak par meñDakoñ ne ehtijājan

    ḳhushk anDe pheñk diye

    fārmī murġhiyoñ ne rang-birange pājāmoñ se

    touch-mobile nikāl kar

    rīleñ banā.īñ aur hashtag meñ ek tijārat-kār ko mention kar diyā

    ye ehtijāj nayā tarīqa hai

    mintoñ aur ghanToñ meñ lākhoñ logoñ ne

    riil par rīleñ banā.īñ

    chand fārmī murġhiyoñ chūñ-chūñ ne

    social media aham surḳhiyoñ par thū-thū kar diyā

    saiñkaḌoñ you-tubiye naak poñchhte hue

    interview ke liye nikal paḌe

    meñDakoñ aur murġhiyoñ daana paanī un ke followers hote haiñ

    kuchh din sub.h dopahar shaam

    aham surḳhiyoñ meñ yahī silsila chaltā hai

    phir do chaar hafte chūñ-chūñ aur thū-thū ke baa'd

    kaun asl mudda'ā aur kahāñ haq

    what the fuck

    zindagi muffler ghuma kar ganTh banani lagi to

    din ki safed saDak par meinDakon ne ehtijajan

    KHushk anDe phenk diye

    farmi murghiyon ne rang-birange pajamon se

    touch-mobile nikal kar

    rilen banain aur hashtag mein ek tijarat-kar ko meintion kar diya

    ye ehtijaj ka naya tariqa hai

    minton aur ghanTon mein lakhon logon ne

    ril par rilen banain

    chand farmi murghiyon ki chun-chun ne

    social media ki aham surKHiyon par thu-thu kar diya

    sainkaDon you-tubiye nak ponchhte hue

    interwiew ke liye nikal paDe

    meinDakon aur murghiyon ka dana pani un ke followers hote hain

    kuchh din subh dopahar sham

    aham surKHiyon mein yahi silsila chalta hai

    phir do chaar hafte chun-chun aur thu-thu ke ba'd

    kaun sa asl mudda'a aur kahan ka haq

    what the fuck

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now