Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

modern khilauna

Ali Sardar Jafri

modern khilauna

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    khel khilaune pahle kyā the

    naam suno tum bachcho kuchh ke

    chhillam-chhū aur āñkh-micholī

    gillī DañDā kanchā golī

    andhā bhaiñsā chiḌiyā kāñTā

    pīchhe dekhā koḌā khāyā

    laTTū chaka.ī aur taar pahiyā

    giiḌī kauḌī dhuul dhamākā

    kushtī kabaDDī geñd aur ballā

    chaar taraf thā ye ballū ballā

    guḌiyā rabaḌ pahne saaḌī

    chābī se vo chaltī gaaḌī

    nāchtā bhālū kūdtā bandar

    biin lai par jhūmtā ajgar

    khel khilaune ye the purāne

    koī bachcha in ko na jaane

    sab out of date hue haiñ

    in ke sab kam rate hue haiñ

    in zamāna ḳhatm huā ab

    daur purānā ḳhatm huā ab

    video game ab chhāyā ghar ghar

    khel yahī hai ik tāza-tar

    is pe fidā haiñ bachche saare

    lag ga.e khel ab saare kināre

    khel khilaune pahle kya the

    nam suno tum bachcho kuchh ke

    chhillam-chhu aur aankh-micholi

    gilli DanDa kancha goli

    andha bhainsa chiDiya kanTa

    pichhe dekha koDa khaya

    laTTu chakai aur tar pahiya

    giDi kauDi dhul dhamaka

    kushti kabaDDi gend aur balla

    chaar taraf tha ye ballu balla

    guDiya rabaD ki pahne saDi

    chabi se wo chalti gaDi

    nachta bhaalu kudta bandar

    bin ki lai par jhumta ajgar

    khel khilaune ye the purane

    koi bachcha in ko na jaane

    sab out of date hue hain

    in ke sab kam rate hue hain

    in ka zamana KHatm hua ab

    daur purana KHatm hua ab

    wideo game ab chhaya ghar ghar

    khel yahi hai ek taza-tar

    is pe fida hain bachche sare

    lag gae khel ab sare kinare

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now