mohabbat aam ho jae
qarīnoñ meñ
hasīñ qudrat ke ye pahlā qarīna hai
badan pahlā ta'āruf hai
badan hī pahlā ziina hai
badan bin lams ke yaarā
hai banjar kokh ke jaise
tabhī to chaaT jaatī hai
judā.ī rog ke jaise
agar chāho tasalsul se badan kī tum numū-kārī
kabhī mat TūTne denā badan kī lams se yaarī
hasīñ rangoñ hasīñ phūloñ hasīñ mausam meñ rahnā tum
mohabbat jis taraf bahtī ho bas us samt bahnā tum
mohabbat ke safar meñ gar tumheñ bhī shaam ho jaa.e
charāġh-e-‘ishq mumkin hai tumhāre naam ho jaa.e
aur aise ham ka.ī bhaTke huoñ kā kaam ho jaa.e
mohabbat 'aam ho jaa.e
mohabbat 'aam ho jaa.e
qarinon mein
hasin qudrat ke ye pahla qarina hai
badan pahla ta'aruf hai
badan hi pahla zina hai
badan bin lams ke yara
hai banjar kokh ke jaise
tabhi to chaT jati hai
judai rog ke jaise
agar chaho tasalsul se badan ki tum numu-kari
kabhi mat TuTne dena badan ki lams se yari
hasin rangon hasin phulon hasin mausam mein rahna tum
mohabbat jis taraf bahti ho bas us samt bahna tum
mohabbat ke safar mein gar tumhein bhi sham ho jae
charagh-e-‘ishq mumkin hai tumhaare nam ho jae
aur aise hum kai bhaTke huon ka kaam ho jae
mohabbat 'am ho jae
mohabbat 'am ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.