mohabbat
ai mohabbat ajiib chiiz hai tū
jān-o-dil se sivā aziiz hai tū
terī betābiyāñ haiñ rashk-e-sukūñ
ġhairat-e-sad-ḳhirad hai terā junūñ
tujh se lazzat hai ashk-bārī meñ
tujh se rāhat hai āh-o-zārī meñ
tere baa.is hai ġham bhī rūh-fazā
tere dam se hai talḳhiyoñ meñ mazā
lazzat-e-soz-o-sāz hai tujh se
jān-o-dil kā gudāz hai tujh se
faiz se tere ashk-e-dīda-e-tar
rū-kash-e-sad-hazār la.al-o-gohar
dil kī nashv-o-numā tire dam se
ruuh kī hai jilā tire dam se
dard meñ tere aisī lazzat hai
jis se sharminda kaif-e-ishrat hai
tujh se ālām meñ shakebā.ī
tujh se ehsās meñ hai ra.anā.ī
zahr kā jaam tujh se āb-e-hayāt
tujh se rangīñ judā.ī ke lamhāt
aag ko tū banātī hai gulzār
tujh se āsāñ hai āzmā.ish-e-dār
tauq-o-zanjīr terā zevar haiñ
tere kāñTe guloñ se behtar haiñ
hai kashish se tirī jahāñ kā nizām
tujh se pā.inda nazm-e-sub.h-o-shām
tū na zarroñ ko gar kare bāham
gir paḌe ye imārat-e-mohkam
dars-e-īsār tū sikhātī hai
nafs kī sar-kashī miTātī hai
tū ġhubār-e-havas ko dhotī hai
dil kī ālūdgī ko khotī hai
aag meñ terī jo bhī jaltā hai
ban ke pāras hī vo nikaltā hai
ai mohabbat ajib chiz hai tu
jaan-o-dil se siwa aziz hai tu
teri betabiyan hain rashk-e-sukun
ghairat-e-sad-KHirad hai tera junun
tujh se lazzat hai ashk-bari mein
tujh se rahat hai aah-o-zari mein
tere bais hai gham bhi ruh-faza
tere dam se hai talKHiyon mein maza
lazzat-e-soz-o-saz hai tujh se
jaan-o-dil ka gudaz hai tujh se
faiz se tere ashk-e-dida-e-tar
ru-kash-e-sad-hazar lal-o-gohar
dil ki nashw-o-numa tere dam se
ruh ki hai jila tere dam se
dard mein tere aisi lazzat hai
jis se sharminda kaif-e-ishrat hai
tujh se aalam mein shakebai
tujh se ehsas mein hai ranai
zahr ka jam tujh se aab-e-hayat
tujh se rangin judai ke lamhat
aag ko tu banati hai gulzar
tujh se aasan hai aazmaish-e-dar
tauq-o-zanjir tera zewar hain
tere kanTe gulon se behtar hain
hai kashish se teri jahan ka nizam
tujh se painda nazm-e-subh-o-sham
tu na zarron ko gar kare baham
gir paDe ye imarat-e-mohkam
dars-e-isar tu sikhati hai
nafs ki sar-kashi miTati hai
tu ghubar-e-hawas ko dhoti hai
dil ki aaludgi ko khoti hai
aag mein teri jo bhi jalta hai
ban ke paras hi wo nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.