mohabbat apna zaicha nikalwana chahti hai
sub.h uThte hī zid kartī hai
aur mujhe dhoñs detī rahtī hai
agar aisā nahīñ kiyā
to maiñ nafrat se dostī kar lūñgī
aur ye dil jo ek kone meñ sukḌā paḌā hai
fariyād kartā rah jā.egā
mujhe is par taras aatā hai
tum jaldī se merā zā.icha nikālo
aur dekho
mujhe kab tak tumhāre saath rahnā hai
tum kab tak mujhe ghasīTogī
kab tak maiñ tumhārī qaid jhelūñgī
har chiiz kī intihā hotī hai
mujhe ab is ḳhol meñ nahīñ rahnā
mujhe jaane do
subh uThte hi zid karti hai
aur mujhe dhons deti rahti hai
agar aisa nahin kiya
to main nafrat se dosti kar lungi
aur ye dil jo ek kone mein sukDa paDa hai
fariyaad karta rah jaega
mujhe is par taras aata hai
tum jaldi se mera zaicha nikalo
aur dekho
mujhe kab tak tumhaare sath rahna hai
tum kab tak mujhe ghasiTogi
kab tak main tumhaari qaid jhelungi
har chiz ki intiha hoti hai
mujhe ab is KHol mein nahin rahna
mujhe jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.