mohabbat daimi sukh hai
mohabbat dā.imī sukh hai
ki jis ko miit kī ghaḌiyāñ
kabhī kam kar nahīñ saktīñ
ye mausam ik daf.a aa.e
to phir aa kar shahr jaa.e
hasīñ shādāb sī kaliyāñ
nigāhoñ meñ samāñ jaa.eñ
to phir ye mar nahīñ saktīñ
ḳhayāloñ kī ravānī meñ
ki jaise bahte paanī meñ
kañval khil jaa.eñ ḳhvāboñ ke
to fitrat muskurātī hai
ishāra kar ke tāroñ se
chhalakte ābshāroñ se
madhur sargoshiyāñ kar ke hameñ rasta dikhātī hai
ye rasta kis qadar hairān-kun manzar dikhātā hai
usī raste pe insāñ ḳhud ko pahlī baar paatā hai
mohabbat ko sazā kahne se pahle soch kar rakhnā
ki jo us se bichhaḌ jaa.e
use manzil nahīñ miltī
bikhar jaa.eñ jo ban kar ḳhaak phir mahfil nahīñ miltī
mohabbat dā.imī sukh hai
mohabbat daimi sukh hai
ki jis ko mit ki ghaDiyan
kabhi kam kar nahin saktin
ye mausam ek dafa aae
to phir aa kar shahr jae
hasin shadab si kaliyan
nigahon mein saman jaen
to phir ye mar nahin saktin
KHayalon ki rawani mein
ki jaise bahte pani mein
kanwal khil jaen KHwabon ke
to fitrat muskuraati hai
ishaara kar ke taron se
chhalakte aabshaaron se
madhur sargoshiyan kar ke hamein rasta dikhati hai
ye rasta kis qadar hairan-kun manzar dikhata hai
usi raste pe insan KHud ko pahli bar pata hai
mohabbat ko saza kahne se pahle soch kar rakhna
ki jo us se bichhaD jae
use manzil nahin milti
bikhar jaen jo ban kar KHak phir mahfil nahin milti
mohabbat daimi sukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.