mohabbat gungunati hai
tire takiye pe sar rakkhe
tirī hī zulf kī ḳhushbū
kuchh aise lab hilātī hai
mohabbat gungunātī hai
jo tum ne vasl kī shab silvaTeñ bistar pe boī thiiñ
ab un par phuul aa.e haiñ
aur un se phūTtī ḳhushbū se
āshāoñ kī chādar bhiig jaatī hai
mohabbat gungunātī hai
tirī pā-posh ke pahlū se jo rasta nikaltā hai
usī pe dil Tahaltā hai
ta'alluq kī galī ke moḌ par baiThe
tire naqsh-e-qadam se manziloñ kī baas aatī hai
mohabbat gungunātī hai
tere takiye pe sar rakkhe
teri hi zulf ki KHushbu
kuchh aise lab hilati hai
mohabbat gungunati hai
jo tum ne wasl ki shab silwaTen bistar pe boi thin
ab un par phul aae hain
aur un se phuTti KHushbu se
aashaon ki chadar bhig jati hai
mohabbat gungunati hai
teri pa-posh ke pahlu se jo rasta nikalta hai
usi pe dil Tahalta hai
ta'alluq ki gali ke moD par baiThe
tere naqsh-e-qadam se manzilon ki bas aati hai
mohabbat gungunati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.