Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ek zarurat hai

Najma Shaheen Khosa

mohabbat ek zarurat hai

Najma Shaheen Khosa

MORE BYNajma Shaheen Khosa

    bahut se log kahte haiñ

    ki rishte gar zarūrat se juḌe hoñ to

    vo aksar TuuT jaate haiñ

    zarūrat puurī hone par zarūrat-mand ik duuje se aksar ruuTh jaate haiñ

    magar ye bhī haqīqat hai

    ki ye duniyā zarūrat hai

    yahāñ par saañs lenā baat karnā

    saath chalnā aur dhḌaknā

    hañste hañste ek dam ḳhāmosh honā

    aur phir chupke se ronā

    yaad rakhnā bhuul jaanā

    bhuul jaane par kisī ko yaad kar ke muskurānā sab zarūrī hai

    kisī naam likh kar diary ko ḳhud chhupānā

    giit likhnā gungunānā

    ḳhvāb taknā raah taknā

    aur phir ik din kisī raah meñ chupke se marnā sab zarūrī hai

    yahāñ sab kuchh zarūrat hai

    yahāñ sab kuchh zarūrī hai

    so tum maano na maano

    bas mujhe to achchhā lagtā thā

    vo jab bhī mujh se kahtā thā

    mujhe terī zarūrat hai

    mujhe terī zarūrat hai

    mohabbat ik zarūrat hai

    yahī to ik ibādat hai

    riyāzat riyāzat hai

    bahut se log kahte hain

    ki rishte gar zarurat se juDe hon to

    wo aksar TuT jate hain

    zarurat puri hone par zarurat-mand ek duje se aksar ruTh jate hain

    magar ye bhi haqiqat hai

    ki ye duniya zarurat hai

    yahan par sans lena baat karna

    sath chalna aur dhDakna

    hanste hanste ek dam KHamosh hona

    aur phir chupke se rona

    yaad rakhna bhul jaana

    bhul jaane par kisi ko yaad kar ke muskurana sab zaruri hai

    kisi ka nam likh kar diary ko KHud chhupana

    git likhna gungunana

    KHwab takna rah takna

    aur phir ek din kisi ki rah mein chupke se marna sab zaruri hai

    yahan sab kuchh zarurat hai

    yahan sab kuchh zaruri hai

    so tum mano na mano

    bas mujhe to achchha lagta tha

    wo jab bhi mujh se kahta tha

    mujhe teri zarurat hai

    mujhe teri zarurat hai

    mohabbat ek zarurat hai

    yahi to ek ibaadat hai

    riyazat hi riyazat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now