mohabbat ka aaKHiri saeban
ret bharī havā.eñ chīrtī haiñ dil ke zaḳhmoñ ko
TuuT jaatī haiñ zanjīreñ sāñsoñ kī
kis qadar barham hai ye ġhasīlī havā
ai merī mohabbat ke āḳhirī sā.ebān
mujhe le chal kisī aise sāhil samundar par
jahāñ maiñ dil kā ġhubār dho sakūñ
saffāk manzar kī daldal āñkhoñ ke ā.īne se utar jaa.e
maiñ bhāgtī rahūñ der tak
duur tak yahāñ tak ki munhadim hote shahr kī dastaras se nikal jā.ūñ
sabhī yādoñ aur va.adoñ ko kuchalte hue
dil aur zehn kī ālūdgī meñ luThḌe hue shahr se duur
ek sabz jañgal hai
jahāñ aman aur mohabbat ke giit gungunātī huī havā
mujhe bulā rahī hai
merī ruuh ko āsūdgī kā resham oḌhāne ke liye
ret bhari hawaen chirti hain dil ke zaKHmon ko
TuT jati hain zanjiren sanson ki
kis qadar barham hai ye ghasili hawa
ai meri mohabbat ke aaKHiri saeban
mujhe le chal kisi aise sahil samundar par
jahan main dil ka ghubar dho sakun
saffak manzar ki daldal aankhon ke aaine se utar jae
main bhagti rahun der tak
dur tak yahan tak ki munhadim hote shahr ki dastaras se nikal jaun
sabhi yaadon aur wadon ko kuchalte hue
dil aur zehn ki aaludgi mein luThDe hue shahr se dur
ek sabz jangal hai
jahan aman aur mohabbat ke git gungunati hui hawa
mujhe bula rahi hai
meri ruh ko aasudgi ka resham oDhane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.