mohabbat ka faqir
aisī tanhā.ī ki ghar dasht lage
aisā sannāTā agar patta hile
aañkh darvāze kī aahaT pe jā ke ruk jaa.e
kaash aa jaa.e koī
phir mohabbat kā safīr
merī anjān sī chāhat kā asiir
vo jo aa jaa.e to āñgan meñ sitāre aa jaa.eñ
is makāñ meñ bhī ki jis meñ tanhā
rah rahā huuñ maiñ ka.ī sadiyoñ se
aane vaale ke muqaddar ke tufail
merī manzil mirā ghar mere kināre aa jaa.eñ
jab bhī is ālam-e-kam-hoshī meñ
dastak-e-dil se aañkh khul jaa.e
ghar kī dahlīz par Thahar jaa.e
duur ik saaya sā nazar aa.e
dil ye phir baar baar samjhā.e
haañ abhī bas abhī aatā hogā
merī jānib bhī koī
sirf mohabbat kā safīr
merī chāhat kā asiir
jab bhī aahaT sī koī hotī hai
aur phir ḳhud ko 'adīl'
dastak-e-dil ke udhar
tanhā khaḌā paatā huuñ
aur mirā aks
mire apne hī ā.īne meñ
Thahre hue paanī meñ
har sub.h mujh ko nazar aatā hai
rose ye samjhātā hai
merī dahlīz pe koī bhī nahīñ
bas meñ huuñ
ek anjān sī chāhat kā safīr
ek gumnām mohabbat kā faqīr
aisi tanhai ki ghar dasht lage
aisa sannaTa agar patta hile
aankh darwaze ki aahaT pe ja ke ruk jae
kash aa jae koi
phir mohabbat ka safir
meri anjaan si chahat ka asir
wo jo aa jae to aangan mein sitare aa jaen
is makan mein bhi ki jis mein tanha
rah raha hun main kai sadiyon se
aane wale ke muqaddar ke tufail
meri manzil mera ghar mere kinare aa jaen
jab bhi is aalam-e-kam-hoshi mein
dastak-e-dil se aankh khul jae
ghar ki dahliz par Thahar jae
dur ek saya sa nazar aae
dil ye phir bar bar samjhae
han abhi bas abhi aata hoga
meri jaanib bhi koi
sirf mohabbat ka safir
meri chahat ka asir
jab bhi aahaT si koi hoti hai
aur phir KHud ko 'adil'
dastak-e-dil ke udhar
tanha khaDa pata hun
aur mera aks
mere apne hi aaine mein
Thahre hue pani mein
har subh mujh ko nazar aata hai
rose ye samjhata hai
meri dahliz pe koi bhi nahin
bas mein hun
ek anjaan si chahat ka safir
ek gumnam mohabbat ka faqir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.