Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka marqad

Roohi Hayat

mohabbat ka marqad

Roohi Hayat

MORE BYRoohi Hayat

    ek roz sūraj tulūa nahīñ hogā

    kyūñki maiñ mar chukī hūñgī

    ek roz raat siyāh sayyāl ban kar mere halaq se utar jā.egī

    kyūñki maiñ mar chukī hoñgī

    ek roz shaam din aur raat ke darmiyān hijr ban kar Thahar jā.egī

    kyūñki us roz maiñ shaam ban jā.ūñgī

    ek roz saare zaḳhmī ḳhvāb mil kar gungunā.eñge

    aur maiñ is lorī se so jā.ūñgī

    ek roz sab ḳhushbuoñ ko habs chaaT jā.egā

    aur phir ye habs jumūd ban kar mere tanaffus meñ qiyām karegā

    ek roz tum uThoge

    aur tumhārī dahlīz ḳhākī lifāfe ke vajūd se ḳhālī hogī

    us roz havā tumhārī khiḌkī ke namnāk shīshe par koī bosa nahīñ chhoḌegī

    tumhārī chaa.e chāshnī ThanDī talḳhī meñ ġharqāb ho jā.egī

    sah-pahar ke lambe saa.e bad-rūheñ ban kar tumhārī vīrān rāh-darī ke sutūnoñ ko thaam leñge

    aur raat syaah harrafa ban kar tumheñ daboch legī

    kyūñki maiñ mar chukī hoñgī

    ek roz suraj tulua nahin hoga

    kyunki main mar chuki hungi

    ek roz raat siyah sayyal ban kar mere halaq se utar jaegi

    kyunki main mar chuki hongi

    ek roz sham din aur raat ke darmiyan hijr ban kar Thahar jaegi

    kyunki us roz main sham ban jaungi

    ek roz sare zaKHmi KHwab mil kar gungunaenge

    aur main is lori se so jaungi

    ek roz sab KHushbuon ko habs chaT jaega

    aur phir ye habs jumud ban kar mere tanaffus mein qiyam karega

    ek roz tum uThoge

    aur tumhaari dahliz KHaki lifafe ke wajud se KHali hogi

    us roz hawa tumhaari khiDki ke namnak shishe par koi bosa nahin chhoDegi

    tumhaari chae ki chashni ThanDi talKHi mein gharqab ho jaegi

    sah-pahar ke lambe sae bad-ruhen ban kar tumhaari viran rah-dari ke sutunon ko tham lenge

    aur raat syah harrafa ban kar tumhein daboch legi

    kyunki main mar chuki hongi

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now