mohabbat ka shiwala
haq baat hai is daur meñ taḳhrīb-pasandī
bātil kī satā.ish meñ hai insāñ kī bulandī
tā.īd-e-sitam sheva-e-arbāb-e-hunar hai
zindān-o-rasan martaba-e-ahl-e-nazar hai
mujrim haiñ jo zulmat ko ujālā nahīñ kahte
maqtal ko mohabbat kā shivāla nahīñ kahte
āzādī-e-afkār kī sham.eñ na jalāo
ārā.ish-e-zindāñ ke liye ḳhuun bahāo
iz.hār-e-karam ḳhauf ke phūloñ se kiyā jaa.e
raushan rah-e-hastī ko bagūloñ se kiyā jaa.e
ā.īn-e-chaman zulm-o-sitam kā hai nigahbāñ
insāf hai ḳhush-fahmī-e-ehsās pe ḳhandāñ
har ahl-e-havas lā.eq-e-in.ām-o-karam hai
dānishvar-o-fankār sanā-ḳhvān-e-sitam hai
hubb-ul-vatanī jāfar-o-sādiq kī hai jāgīr
Tiipū kā lahū bechne vāloñ kī hai tauqīr
zanjīr-e-girāñ qismat-e-sāhib-nazarāñ hai
zahrāb-ba-kaf aaj bhī suqrāt-e-jahāñ hai
haq baat hai is daur mein taKHrib-pasandi
baatil ki sataish mein hai insan ki bulandi
taid-e-sitam shewa-e-arbab-e-hunar hai
zindan-o-rasan martaba-e-ahl-e-nazar hai
mujrim hain jo zulmat ko ujala nahin kahte
maqtal ko mohabbat ka shiwala nahin kahte
aazadi-e-afkar ki shamen na jalao
aaraish-e-zindan ke liye KHun bahao
izhaar-e-karam KHauf ke phulon se kiya jae
raushan rah-e-hasti ko bagulon se kiya jae
aain-e-chaman zulm-o-sitam ka hai nigahban
insaf hai KHush-fahmi-e-ehsas pe KHandan
har ahl-e-hawas laeq-e-inam-o-karam hai
danishwar-o-fankar sana-KHwan-e-sitam hai
hubb-ul-watani jafar-o-sadiq ki hai jagir
Tipu ka lahu bechne walon ki hai tauqir
zanjir-e-giran qismat-e-sahib-nazaran hai
zahrab-ba-kaf aaj bhi suqraat-e-jahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.