mohabbat kab marti hai
maiñ use
jīvan kī āḳhirī sarhad par
chhoḌne gayā thā
jānte ho
jīvan kī āḳhirī sarhad paar
jo bhī chalā jaa.e
vāpas nahīñ aatā
maiñ use chhoḌ kar
ḳhālī haath lauT aaya huuñ
kyā pata vahāñ jā kar use
merī yaad aatī bhī ho ki nahīñ
biite jīvan ke sunahrī pal
use bulāte hoñ yā nahīñ
kyā ḳhabar
vo bhī merī tarah
na.e jīvan ke kāmoñ meñ
ulajh baiThā ho
lekin kabhī-kabhār to
merī tarah vo bhī
mujhe yaad kartā hogā
us ne kahā thā
jaate jaate mujhe bulā kar
mere kaan meñ
sargoshī meñ
ham phir mileñge
kisī aur hī na.ī duniyā meñ
kisī aur ḳhūbsūrat jīvan meñ
ik baar zarūr mileñge
muḳhtalif se hālāt meñ
muḳhtalif se ḳhad-o-ḳhāl ke saath
jīvan ke kisī na.e kirdār meñ
ham phir mileñge
aur maiñ sochtā huuñ
sach hī to kahtā thā vo
kisī ke mar jaane se
us kī ahmiyat kam nahīñ hotī
mohabbat kam nahīñ hotī
balki
mohabbat to bas
jism chhoḌ detī hai
aur jā kar
kisī aur jism meñ utar jaatī hai
koī aur chehra
koī aur kirdār
hū-bahū vahī kahānī dohrātā hai
jo jīvan kī āḳhirī sarhad tak
saath chaltī hai
mohabbat kab martī hai
main use
jiwan ki aaKHiri sarhad par
chhoDne gaya tha
jaante ho
jiwan ki aaKHiri sarhad par
jo bhi chala jae
wapas nahin aata
main use chhoD kar
KHali hath lauT aaya hun
kya pata wahan ja kar use
meri yaad aati bhi ho ki nahin
bite jiwan ke sunahri pal
use bulate hon ya nahin
kya KHabar
wo bhi meri tarah
nae jiwan ke kaamon mein
ulajh baiTha ho
lekin kabhi-kabhaar to
meri tarah wo bhi
mujhe yaad karta hoga
us ne kaha tha
jate jate mujhe bula kar
mere kan mein
sargoshi mein
hum phir milenge
kisi aur hi nai duniya mein
kisi aur KHubsurat jiwan mein
ek bar zarur milenge
muKHtalif se haalat mein
muKHtalif se KHad-o-KHal ke sath
jiwan ke kisi nae kirdar mein
hum phir milenge
aur main sochta hun
sach hi to kahta tha wo
kisi ke mar jaane se
us ki ahmiyat kam nahin hoti
mohabbat kam nahin hoti
balki
mohabbat to bas
jism chhoD deti hai
aur ja kar
kisi aur jism mein utar jati hai
koi aur chehra
koi aur kirdar
hu-bahu wahi kahani dohraata hai
jo jiwan ki aaKHiri sarhad tak
sath chalti hai
mohabbat kab marti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.