mohabbat ke baghair ek nazm
maiñ samundar ko chhāntī huuñ
jab sūraj bahut tez chamaktā hai
saarā namak bah jaatā hai
mere paas bachā rahtā hai sirf paanī
aur mujhe tairnā nahīñ aatā
mausīqī ke shor ke darmiyān
raqs ke kisī ḳhāmosh vaqfe meñ
tum merī taraf jhukte ho
ek surḳh bosa liye
mere hoñToñ par tumhārā zā.iqa
phail jaatā hai aur tumhārā lams
coke ke gilās par chipkā rah jaatā hai
aadhī raat ko
jaltī āñkhoñ kī raushnī meñ
maiñ mohabbat se bhīgī nazmeñ likhtī huuñ
jab sub.h hotī hai
mohabbat kahīñ kho jaatī hai aur nazm rah jaatī hai
koī nazm mohabbat ke baġhair safar kaise kar saktī hai
main samundar ko chhanti hun
jab suraj bahut tez chamakta hai
sara namak bah jata hai
mere pas bacha rahta hai sirf pani
aur mujhe tairna nahin aata
mausiqi ke shor ke darmiyan
raqs ke kisi KHamosh waqfe mein
tum meri taraf jhukte ho
ek surKH bosa liye
mere honTon par tumhaara zaiqa
phail jata hai aur tumhaara lams
coke ke gilas par chipka rah jata hai
aadhi raat ko
jalti aankhon ki raushni mein
main mohabbat se bhigi nazmen likhti hun
jab subh hoti hai
mohabbat kahin kho jati hai aur nazm rah jati hai
koi nazm mohabbat ke baghair safar kaise kar sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.