tū ne kab ye kahā
saath chalte hue
mere tasmoñ se dil ko nahīñ bāñdhnā
mere qadmoñ se qismat nahīñ māpnī
merī āñkhoñ se ḳhud ko nahīñ dekhnā
is shikasta jabīñ ko nahīñ chūmnā
phuul dene nahīñ
tū nahīñ jāntī
maiñ ne kitnī daf'a
tere bheje ḳhatoñ ko mukammal paḌhā
kāġhazoñ par tirī bebasī ke nishāñ maiñ ne azbar kiye
aise vā'doñ pe ḳhud ko nichhāvar kiyā
jo tire haq meñ the
tujh ko hañste samay bhī dilāse diye
aa mirī rāz-dāñ daftar-e-vasl meñ donoñ bāham mileñ
aa ke yuuñ mujh se mil
jaise yā'qūb ko koī kurtā mile
is mazāfātī laḌke ko itnā batā
kaun ḳhvāboñ ke revaḌ ko hāñke binā
tere ruḳhsār hairat se dekhā kare
aur chhue binā
koī kaise rahe
dasht meñ aab ko kaise inkār ho
ghaas ugne lagī
pārkoñ meñ paḌī ḳhālī benchoñ ke uupar
jahāñ ham mohabbat kī Dorī ko thāme
ka.ī ḳhvāb bunte fanā ho ga.e
surḳh phūloñ kī rangat badaltī rahī
tū ne qurbat kī zanjīr khīñchī nahīñ
zindagī thī ki paTrī pe chaltī rahī
tu ne kab ye kaha
sath chalte hue
mere tasmon se dil ko nahin bandhna
mere qadmon se qismat nahin mapni
meri aankhon se KHud ko nahin dekhna
is shikasta jabin ko nahin chumna
phul dene nahin
tu nahin jaanti
main ne kitni daf'a
tere bheje KHaton ko mukammal paDha
kaghazon par teri bebasi ke nishan main ne azbar kiye
aise wa'don pe KHud ko nichhawar kiya
jo tere haq mein the
tujh ko hanste samay bhi dilase diye
aa meri raaz-dan daftar-e-wasl mein donon baham milen
aa ke yun mujh se mil
jaise ya'qub ko koi kurta mile
is mazafati laDke ko itna bata
kaun KHwabon ke rewaD ko hanke bina
tere ruKHsar hairat se dekha kare
aur chhue bina
koi kaise rahe
dasht mein aab ko kaise inkar ho
ghas ugne lagi
parkon mein paDi KHali benchon ke upar
jahan hum mohabbat ki Dori ko thame
kai KHwab bunte fana ho gae
surKH phulon ki rangat badalti rahi
tu ne qurbat ki zanjir khinchi nahin
zindagi thi ki paTri pe chalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.