mohabbat ke is be-karan safar mein
aurat!
tere kitne ruup,
tere kitne naam
mohabbat ke is be-karāñ safar meñ
kitne paḌāv, kitne maqām
kabhī kalī, kabhī phuul
aur kabhī murjhā.ī huī pañkhuḌī
kabhī anār, kabhī māhtāb aur kabhī phuljhaḌī
taḳhlīq kā mamba.a, shaktī kā ḳhazīna terī zaat
mehvar-e-lā-mutanāhī silsila-e-hayāt-o-mamāt
shafqat, mohabbat, īsār-o-vafā sab tere ruup
sītā, sāvitrī, rādhā, miirā
sachchī chāhat ke nuqūsh
ek faqat chāhat kā atiyya, terā ye hiire kā ruup
aurat meñ ho gar ḳhud-e'timādī
dushāsan draupadī kī svāgat ko aa.e
bheroñ ḳhud sherāvālī kī iffat bachā.e
aurat hī hāsil-e-taḳhlīq-e-duniyā hai
aurat hī shu.ūr-e-ādam kā pesh-ḳhema hai
ḳhudā ne jo baḳhshā hai tujhe nasoñ kā jaal
ajab us kī qudrat hai ajab us kā kamāl
kahīñ menkā to kahīñ maryam hai tū
kahīñ aulād kī juuyā zauja-e-zakaryā hai tū
injīl o qur.ān sab tere ratab-ul-lisān
ki tū hī asl meñ hai dhartī kī shaan
mamtā karunā tere naam
ai maañ! tujhe salām
āġhosh-e-mādar ko yuuñ pahlā maktab Thahrāyā
ki tū ne hī aadam ko mohabbat karnā sikhāyā
jis ne dil meñ tere
sabhoñ kī mohabbat rakhī
usī ne qadmoñ meñ tere jannat rakhī
aql-e-ādmī aaj itnī kyuuñ hairān hai
tū hī aadmī kī pahlī pahchān hai
tere hī dam se rañg-o-bū-e-kā.enāt
az-azal tā-abad aadam kī tū hai sharīk-e-hayāt
sabhoñ kā tujh par ye e'tibār hai
shajar-e-hayāt kā tū hī barg-o-bār hai
ye duniyā bhī tujh hī se numūdār hai
girhast jīvan kā āshram hai tujh se tābinda
tū hī banī phir aadam kī najāt-dahinda
to hī jannat kī pahlī haqdār hai
saarī ibādat parastish kī hai tū rūh-e-ravāñ
ai aurat aisā terā raushan kirdār hai
mohabbat ke is be-karāñ safar meñ
tujh se hī zindagī ustuvār hai
aurat!
tere kitne rup,
tere kitne nam
mohabbat ke is be-karan safar mein
kitne paDaw, kitne maqam
kabhi kali, kabhi phul
aur kabhi murjhai hui pankhuDi
kabhi anar, kabhi mahtab aur kabhi phuljhaDi
taKHliq ka mamba, shakti ka KHazina teri zat
mehwar-e-la-mutanahi silsila-e-hayat-o-mamat
shafqat, mohabbat, isar-o-wafa sab tere rup
sita, sawitri, radha, mera
sachchi chahat ke nuqush
ek faqat chahat ka atiyya, tera ye hire ka rup
aurat mein ho gar KHud-e'timadi
dushasan draupadi ki swagat ko aae
bheron KHud sherawali ki iffat bachae
aurat hi hasil-e-taKHliq-e-duniya hai
aurat hi shuur-e-adam ka pesh-KHema hai
KHuda ne jo baKHsha hai tujhe nason ka jal
ajab us ki qudrat hai ajab us ka kamal
kahin meinka to kahin maryam hai tu
kahin aulad ki juya zauja-e-zakarya hai tu
injil o quran sab tere ratab-ul-lisan
ki tu hi asl mein hai dharti ki shan
mamta karuna tere nam
ai man! tujhe salam
aaghosh-e-madar ko yun pahla maktab Thahraya
ki tu ne hi aadam ko mohabbat karna sikhaya
jis ne dil mein tere
sabhon ki mohabbat rakhi
usi ne qadmon mein tere jannat rakhi
aql-e-admi aaj itni kyun hairan hai
tu hi aadmi ki pahli pahchan hai
tere hi dam se rang-o-bu-e-kaenat
az-azal ta-abad aadam ki tu hai sharik-e-hayat
sabhon ka tujh par ye e'tibar hai
shajar-e-hayat ka tu hi barg-o-bar hai
ye duniya bhi tujh hi se numudar hai
girhast jiwan ka aashram hai tujh se tabinda
tu hi bani phir aadam ki najat-dahinda
to hi jannat ki pahli haqdar hai
sari ibaadat parastish ki hai tu ruh-e-rawan
ai aurat aisa tera raushan kirdar hai
mohabbat ke is be-karan safar mein
tujh se hi zindagi ustuwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.