mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
terī duniyā meñ to nafrat kā jahāñ bastā hai
merī duniyā meñ mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
tere dil ko to hazāroñ kī lagan rahtī hai
mere dil meñ tirī hasrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
terī aadat meñ adāvat kī farāvānī hai
merī aadat meñ muravvat ke sivā kuchh bhī nahīñ
tere aalam meñ taḳhayyul hai hasīñ bātoñ kā
mere aalam meñ to hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ
husn meñ tere hai ik nuur kī duniyā raqsāñ
aur mire ishq meñ zulmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
terī qismat meñ haiñ tahrīr tarab-gūñ lamhe
merī qismat meñ musībat ke sivā kuchh bhī nahīñ
terī fitrat to hai bātoñ se batānā dil kā
merī fitrat meñ sadāqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
sach hai 'afzal' ko tire ishq ne barbād kiyā
martaba is kā bhī thā varna buland-o-bālā
teri duniya mein to nafrat ka jahan basta hai
meri duniya mein mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
tere dil ko to hazaron ki lagan rahti hai
mere dil mein teri hasrat ke siwa kuchh bhi nahin
teri aadat mein adawat ki farawani hai
meri aadat mein murawwat ke siwa kuchh bhi nahin
tere aalam mein taKHayyul hai hasin baaton ka
mere aalam mein to hairat ke siwa kuchh bhi nahin
husn mein tere hai ek nur ki duniya raqsan
aur mere ishq mein zulmat ke siwa kuchh bhi nahin
teri qismat mein hain tahrir tarab-gun lamhe
meri qismat mein musibat ke siwa kuchh bhi nahin
teri fitrat to hai baaton se batana dil ka
meri fitrat mein sadaqat ke siwa kuchh bhi nahin
sach hai 'afzal' ko tere ishq ne barbaad kiya
martaba is ka bhi tha warna buland-o-baala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.