mohabbat ke tasawwur mein
ye sach hai maiñ ne chāhā thā
ki merī zindagī meñ ishq ban kar jab bhī tū aa.e
to yuuñ aa.e
ke jaise maut aatī hai
thakī haarī sī sāñsoñ ko sukūñ kī thapkiyāñ dene
badan ko ruuh ko yuuñ bhīñch kar āġhosh meñ lene
ki phir sab us kā ho jaa.e
na kuchh bhī chhūTne paa.e
ke us āġhosh se apnī
na phir koī rihā.ī ho
kisī kī jaan lenā bhī magar ik art hai yuuñ
to siine se tū Takrāyā
magar aage na baḌh paayā
tire āġhosh meñ jānāñ baḌī hī be-qarārī thī
ghuTan siine meñ sāñseñ zard ik dahshat sī taarī thī
go maiñ ne bārhā ḳhud ko ye samjhāyā
ke ye ek faiz hī hai bas
guzar jā.egā haule se
phir ik vo lamha aa.egā
ki jab ye zindagī merī sukūñ meñ Duub jā.egī
magar ye ho nahīñ paayā
vo ik lamha nahīñ aayā
to ab aalam kuchh aisā hai
ye sāñseñ ukhḌī ukhḌī haiñ
paḌā hai zehn bhī ḳhāmosh
āñkheñ sūkhī sūkhī haiñ
magar sab se ziyāda jo mujhe afsos hai vo ye
ki jaañ maiñ ab bhī zinda huuñ
aur ab ye zindagī pahle se baḌh kar be-ma.ānī hai
tū merī zindagī meñ ḳhud-kushī kā pal thā jān-e-jāñ
jo puurā ho nahīñ paayā
jo puurā ho nahīñ paayā
ye sach hai main ne chaha tha
ki meri zindagi mein ishq ban kar jab bhi tu aae
to yun aae
ke jaise maut aati hai
thaki haari si sanson ko sukun ki thapkiyan dene
badan ko ruh ko yun bhinch kar aaghosh mein lene
ki phir sab us ka ho jae
na kuchh bhi chhuTne pae
ke us aaghosh se apni
na phir koi rihai ho
kisi ki jaan lena bhi magar ek art hai yun
to sine se tu Takraya
magar aage na baDh paya
tere aaghosh mein jaanan baDi hi be-qarari thi
ghuTan sine mein sansen zard ek dahshat si tari thi
go main ne barha KHud ko ye samjhaya
ke ye ek faiz hi hai bas
guzar jaega haule se
phir ek wo lamha aaega
ki jab ye zindagi meri sukun mein Dub jaegi
magar ye ho nahin paya
wo ek lamha nahin aaya
to ab aalam kuchh aisa hai
ye sansen ukhDi ukhDi hain
paDa hai zehn bhi KHamosh
aankhen sukhi sukhi hain
magar sab se ziyaada jo mujhe afsos hai wo ye
ki jaan main ab bhi zinda hun
aur ab ye zindagi pahle se baDh kar be-maani hai
tu meri zindagi mein KHud-kushi ka pal tha jaan-e-jaan
jo pura ho nahin paya
jo pura ho nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.