mohabbat KHatm hai tum par
tum kyā jaano
āvāz safar kartī hai
duur mandiroñ meñ bajtī ghanTiyoñ kī tarah
jism bolte haiñ
dariyā kī lahreñ jab kināroñ se Takrātī haiñ
talātum-ḳhez maujoñ kā ajab ik shor uThtā hai
aur us par paḌtī kamroñ kī raushnī
ḳhaak dariyā meñ ruuh phūñk detī hai
tum bachchoñ ko pariyoñ chāñd sitāroñ kī kahāniyāñ sunāte ho
be-ḳhabar
ye sabhī tumhāre ḳhilāf dohrī chaal chal rahe haiñ
tum qadīm dhunoñ meñ
pesh-e-doshīzgī doshīzgī ke rañg dete ho
aur ārām talab ghaTāoñ se gurezāñ ho
jo tumhāre raste meñ ḳhālī paḌe benchoñ par mātam kartī haiñ
Keats aur coleridge tumhārā kyā bigāḌeñge
aql-o-dānish ke pahre-dār tumhārī hifāzat kar rahe haiñ
tumheñ ḳhvāb kī tahvīl meñ kaise laa.eñ
tum aur mohabbat
apnī āñkheñ sūraj kī taraf rakho
shukr dopahar
sannāToñ meñ dīvāna-vār us kī galī talāsh karoge
tum ik din vahshat ke hāthoñ maar diye jāoge
tum kya jaano
aawaz safar karti hai
dur mandiron mein bajti ghanTiyon ki tarah
jism bolte hain
dariya ki lahren jab kinaron se Takraati hain
talatum-KHez maujon ka ajab ek shor uThta hai
aur us par paDti kamron ki raushni
KHak dariya mein ruh phunk deti hai
tum bachchon ko pariyon chand sitaron ki kahaniyan sunate ho
be-KHabar
ye sabhi tumhaare KHilaf dohri chaal chal rahe hain
tum qadim dhunon mein
pesh-e-doshizgi doshizgi ke rang dete ho
aur aaram talab ghaTaon se gurezan ho
jo tumhaare raste mein KHali paDe benchon par matam karti hain
Keats aur coleridge tumhaara kya bigaDenge
aql-o-danish ke pahre-dar tumhaari hifazat kar rahe hain
tumhein KHwab ki tahwil mein kaise laen
tum aur mohabbat
apni aankhen suraj ki taraf rakho
shukr dopahar
sannaTon mein diwana-war us ki gali talash karoge
tum ek din wahshat ke hathon mar diye jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.