mohabbat
ḳhudā kā ik atiyya hai ḳhudā kī ek ne.amat hai
garāñ-māya ye tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat nūr-e-yazdāñ hai mohabbat zill-e-sub.hānī
mohabbat jām-e-irfāñ hai mohabbat kaif-e-īmānī
mohabbat āb-e-haivāñ hai mohabbat abr-e-nīsānī
sarāsar ye sa.ādat hai sarāpā ek rahmat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat bā.is-e-imkāñ mohabbat jān-e-ālam hai
mohabbat zevar-e-insāñ mohabbat husn-e-ādam hai
mohabbat āya-e-rahmāñ mohabbat ism-e-āzam hai
nizām-e-zindagī qaa.em mohabbat kī badaulat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat paak jazba hai mohabbat zauq-e-kāmil hai
matā-e-zindagī hai aur yahī duniyā kā hāsil hai
agar duniyā samundar hai mohabbat us kā sāhil hai
isī kā naam rāhat hai isī kā naam ishrat hai
mohabbat ek tohfa ek daulat hai
mohabbat jārī-o-sārī zamīñ se āsmāñ tak hai
isī kī kār-farmā.ī makāñ se lā-makāñ tak hai
mohabbat hai vahāñ tak fikr-e-insānī jahāñ tak hai
muhīt-e-vus.at-e-getī mohabbat hai mohabbat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat hī se ye duniyā hasīñ ma.alūm hotī hai
baḌī dilkash balā kī dil-nashīñ ma.alūm hotī hai
nazar meñ phir yahī ḳhuld-e-barīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat ek doshīza kī tarah ḳhūbsūrat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat jis meñ hotī hai vo dil bedār rahtā hai
mohabbat ke nashe se har ghaḌī sarshār rahtā hai
vahī dil-shād duniyā meñ bas ai 'muḳhtār' rahtā hai
bashar ke vāste ye to bahut hī besh-qīmat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
KHuda ka ek atiyya hai KHuda ki ek neamat hai
garan-maya ye tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat nur-e-yazdan hai mohabbat zill-e-subhani
mohabbat jam-e-irfan hai mohabbat kaif-e-imani
mohabbat aab-e-haiwan hai mohabbat abr-e-nisani
sarasar ye saadat hai sarapa ek rahmat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat bais-e-imkan mohabbat jaan-e-alam hai
mohabbat zewar-e-insan mohabbat husn-e-adam hai
mohabbat aaya-e-rahman mohabbat ism-e-azam hai
nizam-e-zindagi qaem mohabbat ki badaulat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat pak jazba hai mohabbat zauq-e-kaamil hai
mata-e-zindagi hai aur yahi duniya ka hasil hai
agar duniya samundar hai mohabbat us ka sahil hai
isi ka nam rahat hai isi ka nam ishrat hai
mohabbat ek tohfa ek daulat hai
mohabbat jari-o-sari zamin se aasman tak hai
isi ki kar-farmai makan se la-makan tak hai
mohabbat hai wahan tak fikr-e-insani jahan tak hai
muhit-e-wusat-e-geti mohabbat hai mohabbat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat hi se ye duniya hasin malum hoti hai
baDi dilkash bala ki dil-nashin malum hoti hai
nazar mein phir yahi KHuld-e-barin malum hoti hai
mohabbat ek doshiza ki tarah KHubsurat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
mohabbat jis mein hoti hai wo dil bedar rahta hai
mohabbat ke nashe se har ghaDi sarshaar rahta hai
wahi dil-shad duniya mein bas ai 'muKHtar' rahta hai
bashar ke waste ye to bahut hi besh-qimat hai
mohabbat ek tohfa hai mohabbat ek daulat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.