mohabbat ki aaKHiri nazm
dam-e-ruḳhsat
tape hue lahje meñ ḳhāmosh rahne vaalā
āñkhoñ tak sulag uThā hogā
us kī sāñsoñ se merā dam ruk gayā
aur merī hatheliyāñ dhaḌakne lagīñ
merā mard puure chāñd kī tarah mujh par chhā gayā
vo aag se murattab hai
mere añg añg meñ pighalne kī aarzū hai
us ke lams meñ mere ḳhamīr kī ḳhushbū kahāñ se samā ga.ī
ki maiñ apnī talāsh meñ us tak aa pahuñchī
us kī āñkhoñ meñ merī āñkheñ thiiñ
jab use mujh se judā kiyā gayā
vo darvāze se bāhar bhī darvāze ke andar thā
aur maiñ darvāze ke andar bhī darvāze se bāhar thī
dam-e-ruKHsat
tape hue lahje mein KHamosh rahne wala
aankhon tak sulag uTha hoga
us ki sanson se mera dam ruk gaya
aur meri hatheliyan dhaDakne lagin
mera mard pure chand ki tarah mujh par chha gaya
wo aag se murattab hai
mere ang ang mein pighalne ki aarzu hai
us ke lams mein mere KHamir ki KHushbu kahan se sama gai
ki main apni talash mein us tak aa pahunchi
us ki aankhon mein meri aankhen thin
jab use mujh se juda kiya gaya
wo darwaze se bahar bhi darwaze ke andar tha
aur main darwaze ke andar bhi darwaze se bahar thi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 610)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.