mohabbat ki baat
chalo mohabbat kī baat kareñ
ab
maile jismoñ se uupar uTh kar
bhūlte hue ki kabhī
ghuTne Tek chuke haiñ ham
aur dekh chuke haiñ
apnī ruuh ko taar taar hote
jhūTe faḳhr ke saath
chalo mohabbat kī baat kareñ
zindagī ke pairoñ tale
be-rahmī se rauñde jaane ke ba.ad
marham lagā.eñ zaḳhmī vajūd par
jo sharm se āñkheñ jhukā kar
baiThā hai sapnoñ ke mazār pe
is se burī koī baat nahīñ kar sakte
ham apnī hī zid meñ
dhokā de chuke haiñ apne-āp ko
khel chuke haiñ ḳhud apnī izzat se
bhog chuke haiñ jhuuT ko sach kī tarah
ab
in hālāt meñ
koī ġhair-zarūrī baat hī kar sakte haiñ ham
aao mohabbat kī baat kareñ
chalo mohabbat ki baat karen
ab
maile jismon se upar uTh kar
bhulte hue ki kabhi
ghuTne Tek chuke hain hum
aur dekh chuke hain
apni ruh ko tar tar hote
jhuTe faKHr ke sath
chalo mohabbat ki baat karen
zindagi ke pairon tale
be-rahmi se raunde jaane ke baad
marham lagaen zaKHmi wajud par
jo sharm se aankhen jhuka kar
baiTha hai sapnon ke mazar pe
is se buri koi baat nahin kar sakte
hum apni hi zid mein
dhoka de chuke hain apne-ap ko
khel chuke hain KHud apni izzat se
bhog chuke hain jhuT ko sach ki tarah
ab
in haalat mein
koi ghair-zaruri baat hi kar sakte hain hum
aao mohabbat ki baat karen
- Book : Ek Maheena Nazmon ka (Pg. 150)
- Author : Irshad Kamil
- Publication : Vani Prakashan, Darya Ganj N. Delhi-110002 (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.