mohabbat ki manzil
aise to nahīñ chheḌo mere jism ke tambūre ko
jaise koī bachcha sharārat kare
merā jism koī raaz nahīñ hai
jise daryāft karne ke liye
kisī naqshe kī zarūrat ho
ye algebra kā savāl nahīñ hai
jis kā pahle se formula tayyār ho
is saaz ko bajāne ke liye koī bhī tarkīb
duniyā kī kisī bhī kitāb meñ darj nahīñ
ye saaz az-ḳhud bajne lage agar
tere nain mohabbat ke diye ban kar jal uTheñ
terī uñgliyoñ kī poreñ
mere jism par aise safar kartī haiñ
jaise koī muhim jo pahāḌ kī choTī par
fatah kā parcham lahrānā chāhe
barf kā pahāḌ bhī pighalne lage agar
tere haath mere par ban kar
mujhe mohabbat kī manzil kī taraf
uḌā kar le jaa.eñ
aise to nahin chheDo mere jism ke tambure ko
jaise koi bachcha shararat kare
mera jism koi raaz nahin hai
jise daryaft karne ke liye
kisi naqshe ki zarurat ho
ye algebra ka sawal nahin hai
jis ka pahle se formula tayyar ho
is saz ko bajaane ke liye koi bhi tarkib
duniya ki kisi bhi kitab mein darj nahin
ye saz az-KHud bajne lage agar
tere nain mohabbat ke diye ban kar jal uThen
teri ungliyon ki poren
mere jism par aise safar karti hain
jaise koi muhim jo pahaD ki choTi par
fatah ka parcham lahrana chahe
barf ka pahaD bhi pighalne lage agar
tere hath mere par ban kar
mujhe mohabbat ki manzil ki taraf
uDa kar le jaen
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 97)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.