mohabbat ki maut
tum ne mohabbat ko marte dekhā hai?
chamaktī hañstī āñkheñ pathrā jaatī haiñ
dil ke dālānoñ meñ pareshān garm lū ke jhakkaḌ chalte haiñ
gulābī ehsās ke bahte hue ḳhushk
aur lagtā hai jaise
kisī harī-bharī khetī par paalā paḌ jaa.e!
lekin yā-rab
aarzū ke in murjhā.e sūkhe phūloñ
in gum-shuda jannatoñ se
kaisī sandalī
dil-āvez
ḳhushbueñ aatī haiñ!
tum ne mohabbat ko marte dekha hai?
chamakti hansti aankhen pathra jati hain
dil ke dalanon mein pareshan garm lu ke jhakkaD chalte hain
gulabi ehsas ke bahte hue KHushk
aur lagta hai jaise
kisi hari-bhari kheti par pala paD jae!
lekin ya-rab
aarzu ke in murjhae sukhe phulon
in gum-shuda jannaton se
kaisi sandali
dil-awez
KHushbuen aati hain!
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 157)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.