mohabbat ki nazm
merī bāteñ jaise dhuup ho sarmā kī dālānoñ meñ
barfeñ terī ḳhāmoshī kī
jin ke nīche haath hamāre mazbūtī se juḌe hue haiñ
saarī bastiyāñ mere tere qayām ko tarseñ
ham mehmān baneñ to un kī būḌhī gaa.eñ
ḳhushk thanoñ se duudh utāreñ
un ke bachche apne baap kā kahnā māneñ
un ke parinde chhatoñ pe baiTh ke par phailā.eñ
ham donoñ ko baḌī-būḌhiyāñ chhoḌne aa.eñ darvāzoñ tak
merī bāteñ jaise sach ho Dare hue bachchoñ kā
terī ḳhāmoshī hai jaise dulhan māiyoñ baiThe
saare raste merī terī chaap ko tarseñ
ham aa.eñ to raste nasheb se uTh kar
ham donoñ ko dekheñ
duur duur tak haath hilā.eñ
ḳhushiyāñ chait ke mausam jaisī
aur jo qasmeñ ham ne khā.īñ
āshiq shahzādoñ ke maqbaroñ jaisī un meñ sachchā.ī hai
jānāñ bārish thakī huī hai
us ko apne bāloñ aur masāmoñ meñ so jaane do
maiñ dhuup kā ik mashrūb
tumhāre vāste
sarmā ke sūraj se māñgtā huuñ
meri baaten jaise dhup ho sarma ki dalanon mein
barfen teri KHamoshi ki
jin ke niche hath hamare mazbuti se juDe hue hain
sari bastiyan mere tere qayam ko tarsen
hum mehman banen to un ki buDhi gaen
KHushk thanon se dudh utaren
un ke bachche apne bap ka kahna manen
un ke parinde chhaton pe baiTh ke par phailaen
hum donon ko baDi-buDhiyan chhoDne aaen darwazon tak
meri baaten jaise sach ho Dare hue bachchon ka
teri KHamoshi hai jaise dulhan maiyon baiThe
sare raste meri teri chap ko tarsen
hum aaen to raste nasheb se uTh kar
hum donon ko dekhen
dur dur tak hath hilaen
KHushiyan chait ke mausam jaisi
aur jo qasmen hum ne khain
aashiq shahzadon ke maqbaron jaisi un mein sachchai hai
jaanan barish thaki hui hai
us ko apne baalon aur masamon mein so jaane do
main dhup ka ek mashrub
tumhaare waste
sarma ke suraj se mangta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.