mohabbat
Interesting Fact
(A number dedicated to Krishan Chandar on the occasion of Teej)
kirshn aa.e ki diiñ bhar bhar ke vahdat ke ḳhumistāñ se
sharāb-e-ma.arifat kā rūh-parvar jaam hindū ko
kirshn aa.e aur us bātil-rubā maqsad ke saath aa.e
ki duniyā but-parastī kā na de ilzām hindū ko
kirshn aa.e ki talvāroñ kī jhankāroñ meñ de jaa.eñ
hayāt-e-jāvidāñ kā sarmadī in.aam hindū ko
agar ḳhauf-e-ḳhudā dil meñ hai phir kyuuñ maut kā Dar ho
kirshn aa.eñ to ab bhī deñ yahī paiġhām hindū ko
musalmānoñ ke dil meñ bhī adab hai in haqā.eq kā
sikhātā hai yahī sachchā.iyāñ islām hindū ko
vo mere jazba-e-dil kī kashish kā laakh munkir ho
mohabbat se maiñ āḳhir kar hī lūñgā raam hindū ko
kirshn aae ki din bhar bhar ke wahdat ke KHumistan se
sharab-e-marifat ka ruh-parwar jam hindu ko
kirshn aae aur us baatil-ruba maqsad ke sath aae
ki duniya but-parasti ka na de ilzam hindu ko
kirshn aae ki talwaron ki jhankaron mein de jaen
hayat-e-jawidan ka sarmadi inam hindu ko
agar KHauf-e-KHuda dil mein hai phir kyun maut ka Dar ho
kirshn aaen to ab bhi den yahi paigham hindu ko
musalmanon ke dil mein bhi adab hai in haqaeq ka
sikhata hai yahi sachchaiyan islam hindu ko
wo mere jazba-e-dil ki kashish ka lakh munkir ho
mohabbat se main aaKHir kar hi lunga ram hindu ko
- Book : Nigaristan (Pg. 199)
- Author : zafar ali khan
- Publication : zapunited chwok anar kali lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.