mohabbat lafz tha mera
maiñ is shahr-e-ḳharābī meñ faqīroñ kī tarah dar dar phirā barsoñ
use galiyoñ meñ saḌkoñ par
gharoñ kī sard dīvāroñ ke pīchhe DhūñDhtā tanhā
ki vo mil jaa.e to tohfa use duuñ apnī chāhat kā
tamannā merī bar aa.ī ki ik din ek darvāza khulā aur
maiñ ne dekhā vo shanāsā chāñd sā chehra
jo shādābī meñ gulshan thā
maiñ ik shān-e-gadāyāna liye us kī taraf lapkā
to us ne chashm-e-be-parvā ke halke se ishāre se mujhe rokā
aur apnī zulf ko māthe pe lahrāte hue pūchhā
kaho ai ajnabī saa.il
gadā-e-be-sar-o-sāmāñ
tumheñ kyā chāhiye ham se
maiñ kahnā chāhtā thā umr guzrī jis kī chāhat meñ
vahī jab mil gayā to aur ab
kyā chāhe mujh ko
magar taqrīr kī quvvat na thī mujh meñ
faqat ik lafz niklā thā laboñ se kāñptā Dartā
jise ummīd kam thī us ke dil meñ baar paane kī
mohabbat lafz thā merā
magar us ne sunā roTī
main is shahr-e-KHarabi mein faqiron ki tarah dar dar phira barson
use galiyon mein saDkon par
gharon ki sard diwaron ke pichhe DhunDhta tanha
ki wo mil jae to tohfa use dun apni chahat ka
tamanna meri bar aai ki ek din ek darwaza khula aur
main ne dekha wo shanasa chand sa chehra
jo shadabi mein gulshan tha
main ek shan-e-gadayana liye us ki taraf lapka
to us ne chashm-e-be-parwa ke halke se ishaare se mujhe roka
aur apni zulf ko mathe pe lahraate hue puchha
kaho ai ajnabi sail
gada-e-be-sar-o-saman
tumhein kya chahiye hum se
main kahna chahta tha umr guzri jis ki chahat mein
wahi jab mil gaya to aur ab
kya chahe mujh ko
magar taqrir ki quwwat na thi mujh mein
faqat ek lafz nikla tha labon se kanpta Darta
jise ummid kam thi us ke dil mein bar pane ki
mohabbat lafz tha mera
magar us ne suna roTi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 367)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.