mohabbat mar gai meri
mohabbat ke bulañd-o-bāg da.ave sab hī karte haiñ
mohabbat kī aslī me.arāj ko kab koī samjhā hai
mohabbat dil ke andar jāguzīñ
nāzuk sā ik ehsās hotī hai
mohabbat kāñch hotī haiñ
zarā sī Thes lagne se ye chaknā-chūr hotī hai
mohabbat ret hai sāhil kī
ki nañge paañv jis par duur tak chalnā bahut taskīn detā hai
mohabbat ThanDe mīThe pāniyoñ kā ek chashma hai
ki jis kā ghūñT bhī pī leñ
to saarā jism hī andar talak sairāb rahtā hai
magar afsos
ki tum ne is mire ehsās-e-ulfat ko
dahakte jism kā ik aarzī ehsās hī jaanā
tumhārī soch bhī jab aam logoñ kī tarah Thahrī
mohabbat mar ga.ī merī
mohabbat mar ga.ī merī
mohabbat ke buland-o-bag dawe sab hi karte hain
mohabbat ki asli mearaj ko kab koi samjha hai
mohabbat dil ke andar jaguzin
nazuk sa ek ehsas hoti hai
mohabbat kanch hoti hain
zara si Thes lagne se ye chakna-chur hoti hai
mohabbat ret hai sahil ki
ki nange panw jis par dur tak chalna bahut taskin deta hai
mohabbat ThanDe miThe paniyon ka ek chashma hai
ki jis ka ghunT bhi pi len
to sara jism hi andar talak sairab rahta hai
magar afsos
ki tum ne is mere ehsas-e-ulfat ko
dahakte jism ka ek aarzi ehsas hi jaana
tumhaari soch bhi jab aam logon ki tarah Thahri
mohabbat mar gai meri
mohabbat mar gai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.