mohabbat mar jaane dun
sun
merī banjar zamīnoñ meñ
mohabbat
ugne lagī hai
kuchh hī dinoñ meñ
pak jā.egī
lekin
mere bāzūoñ meñ
be-jānī ke vasvase
sarsarāte haiñ
merī banjar zamīñ pe
baḌī muddat baa'd
mo.ajiza utrā hai
terī chāhat kī nannhī koñpal
mere siine kī zamīn kā
sar phaaḌ kar
puurī vahshat se ug aa.ī hai
ise gal jaane duuñ
mohabbat mar jaane duuñ
sun
meri banjar zaminon mein
mohabbat
ugne lagi hai
kuchh hi dinon mein
pak jaegi
lekin
mere bazuon mein
be-jaani ke waswase
sarsaraate hain
meri banjar zamin pe
baDi muddat ba'd
moajiza utra hai
teri chahat ki nannhi konpal
mere sine ki zamin ka
sar phaD kar
puri wahshat se ug aai hai
ise gal jaane dun
mohabbat mar jaane dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.