mohabbat
mohabbat jis meñ laġhzish bhī husūl-e-kāmrānī hai
mohabbat jis kī har kāvish surūr-e-jāvedānī hai
mohabbat jis meñ ġham bhī intihā-e-shādmānī hai
mohabbat jis kī tafsīr-o-vazāhat be-zabānī hai
mohabbat jis meñ rūposhī bhī ik iz.hār ho jaa.e
mohabbat jis meñ ḳhāmoshī lab-e-guftār ho jaa.e
mohabbat jis kī ātish meñ baqā paate haiñ parvāne
mohabbat jis kī ābādī meñ haiñ ābād mastāne
mohabbat jis kī vus.at ko nizām-e-hosh kyā jaane
mohabbat jis ko afsāna banā rakkhā hai duniyā ne
mohabbat ibtidā kahte haiñ lafz-e-vāh se jis kī
mohabbat intihā sunte haiñ lafz-e-āh se jis kī
mohabbat jis kī ra.anā.ī guloñ meñ muskurātī hai
mohabbat jo nazar ko jalva-e-fitrat dikhātī hai
mohabbat jo kamāl-e-husn ko yaktā banātī hai
mohabbat jis meñ ġham-āgīñ tamanna chain paatī hai
mohabbat jis pe qaa.em imbisāt-e-ġhair-fānī hai
mohabbat jis se vābasta nashāt-e-jāvedānī hai
mohabbat jis ko bahr-e-zindagī kā nāḳhudā kahiye
mohabbat jis ko aalam meñ fanā-nā-āshnā kahiye
mohabbat jis ko fānūs-e-masarrat kī ziyā kahiye
mohabbat jis ko lafz-e-ām meñ lutf-e-vafā kahiye
mohabbat jo bashar ke saath miTtī hai na martī hai
mohabbat ruuh meñ jo arsh-e-a.azam se utartī hai
mohabbat jo kabhī ġham hai kabhī āzād hasrat hai
mohabbat jo kabhī sarmāya-e-kaif-e-masarrat hai
mohabbat jis kī mushkil ik hayāt-afroz lazzat hai
mohabbat jis kā har andāz jaadū hai karāmat hai
vo jazba hai jo ā.īn-e-ḳhirad se duur rahtā hai
ye ehsās-e-muqaddas qalb meñ mastūr rahtā hai
mohabbat jis mein laghzish bhi husul-e-kaamrani hai
mohabbat jis ki har kawish surur-e-jawedani hai
mohabbat jis mein gham bhi intiha-e-shadmani hai
mohabbat jis ki tafsir-o-wazahat be-zabani hai
mohabbat jis mein ruposhi bhi ek izhaar ho jae
mohabbat jis mein KHamoshi lab-e-guftar ho jae
mohabbat jis ki aatish mein baqa pate hain parwane
mohabbat jis ki aabaadi mein hain aabaad mastane
mohabbat jis ki wusat ko nizam-e-hosh kya jaane
mohabbat jis ko afsana bana rakkha hai duniya ne
mohabbat ibtida kahte hain lafz-e-wah se jis ki
mohabbat intiha sunte hain lafz-e-ah se jis ki
mohabbat jis ki ranai gulon mein muskuraati hai
mohabbat jo nazar ko jalwa-e-fitrat dikhati hai
mohabbat jo kamal-e-husn ko yakta banati hai
mohabbat jis mein gham-agin tamanna chain pati hai
mohabbat jis pe qaem imbisat-e-ghair-fani hai
mohabbat jis se wabasta nashat-e-jawedani hai
mohabbat jis ko bahr-e-zindagi ka naKHuda kahiye
mohabbat jis ko aalam mein fana-na-ashna kahiye
mohabbat jis ko fanus-e-masarrat ki ziya kahiye
mohabbat jis ko lafz-e-am mein lutf-e-wafa kahiye
mohabbat jo bashar ke sath miTti hai na marti hai
mohabbat ruh mein jo arsh-e-azam se utarti hai
mohabbat jo kabhi gham hai kabhi aazad hasrat hai
mohabbat jo kabhi sarmaya-e-kaif-e-masarrat hai
mohabbat jis ki mushkil ek hayat-afroz lazzat hai
mohabbat jis ka har andaz jadu hai karamat hai
wo jazba hai jo aain-e-KHirad se dur rahta hai
ye ehsas-e-muqaddas qalb mein mastur rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.